Tum kaho to kahoon
Harf ke taar main jitnay aansu piroay thay
Dard un se fazoon tha
Tum kaho to kahoon zarf ki dastan
Kheton ko gila badalon se nahi, soorajon se bhi tha
Bazu'on se bhi tha, hal pakarnay se pehlay ho jo thak gaye thay
Kisht e zarkhaiz per aab e namkeem jum sa gya
Raqs thum sa gya
Airryan ghoomtay ghoomtay ruk gaeen
Ashk rukhsar ki ghatiyon se gira, munjamid ho gya
Rang khushbu bana to hawa chal pari
Khaab nata bana to khuli khirkiyon main salakhain aa gaeen
Hath zakhmi huay
Kis ke kashkol se kitnay sikkay giray
Hijr kesa parinday ki aankhon main tha
Ghao kesay paharron ke seenay pe thay
Aina gung tha
Farsh per aks dhum se gira
Kirchiyan ho gya
Tum kaho to ginoon
Tum kaho to chunoon
Tum kaho to sunoon un-khilay phool ki dharkanain
Gumshuda titliyon ki sada
Zard tehni ke honton pe rakhi hui buddua
Aasmanon ki deleez per phaink doon
Tum kaho to dikhaoon tumhain
Ik tamasha keh jo meri muthi main hai
Ik gardan keh jo gham ke phanday main hai
Sans chalti bhi hai aur chalti nahi
Jaan nikalti nahi
Javaid Anwar

0 comments:
Post a Comment