twitter

Raheen e khauf na waqif e haras rehta hai
Magar yeh dil hai ke aksar udas rehta hai

Yeh sanwali si fizaen yeh be charagh nagar
Yaheen kaheen woh sitara shanas rehta hai

Usi ko orrh ke soti hai rat khud pe magar
Wo chandni ki tarha be libas rehta hai

Main kya parhun koi chehra ke meri aankhon main
Teray badan ka koi iqtabaas rehta hai
 

Kahan bhulaye us ko keh wo bichar ke sada
Khayal bun ke muheet e hawas rehta hai

Bhatak bhatak ke usey dhundtay phiro Mohsin
Wo dramiyaan e yaqeen o qayas rehta hai
Saturday, March 1, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: