twitter

Tere intezar mein raat bhar hum shamma kay sath jalay bhi hain
Chaand kay sath jagay bhi aur suraj kay sath dhaley bhi hain


Hamare safar mein hamare sath bas diljali si fiza nahi
Kuch tishngi ki sa'atien kuch udasion kay lamhe bhi hain

Hamien rozgar e hayat nay kai majboorion mein jakar diya
So yeh wajud to apni jaga sahi par zindgi se gilay bhi hain

Hamien dey kay hosh e aaghi yun sapurd e aazab kiya keh hum
Faqat phool ban kar khilley nahi charagh ban kar jalay bhi hain

Dua'ien bhi ki bohat magar tujhe dhundne kay wastey
Sang chak e girebaan kiye hum khar khar chale bhi hain

Hamien qismatoun ki kitab kay har baab sey hain shikayatien
Ham ney to suna tha in mein sab bure nahi kuch bhale bhi hain

Is dasht e junun key haath sey bachaye rakhey sabhi ko RAB!
Wo azaab jo tu ney faqat suney wo azaab hum ko milay bhi hain

Tuesday, July 15, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: