twitter

Samandar ke kinarey sahilon ki rait kay ander
Hamarey kitney hi anmol khawabon kay khazaney hain
Dafeenay hain, fasanay hain
Hawa chalti hai jub chho ker
Hamarey dil ke zakhmon ko
Kharabey rooh ke aabad ho jaatey hain yaadon say
Gaye waqton ki baaton say
Kahan ho tum?
Kahin bhooley say aa niklo
Ager aaney per kadghan hai
Tu bas itna hi kar dalo
Hawa ke dosh pe bay hurf sargoshi
Koi bay lafz sandesa hi kar dalo
Jeenay ke wastey itna hi kafi hai
Hamein jeena tu hai aur umar baki hai
Woh aawazein hi sun lain gay jo koi lub nahi kehtey
Aur aaisey khawaab bun lain gay, kabhi jo saach nahi hotey
Bas aaisey hi bahanon mein yeh jeevan paar kar lain gay
Tumharey naam kar dain gay.

Tuesday, July 15, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: