twitter

Aasmaan sey inaayatain na tujhey mileen na mujhey mileen
Mohabbaton sey raahatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Hamein aashiqi mein sach mila hamein zindagi mein sab mila
Magar be’wafaai ki aadatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Udhar tu dua mein laga raha idhar mein dua mein laga raha
Par mannaton sey haajatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Thi aarzu kabhi saahilon pe terey saath saath hum chal sakein
Par samandaron sey ijazatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Jis zindagi ki khaahishon mein so rat’jagon mein sajood keeye
Us zindagi ki bashaaratein na tujhey mileen na mujhey mileen


Hasraton ke deeyon ko aag kabhi tu ney di kabhi mein ney di
Magar roshni ki alaamatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Na to terey dard rukey kaheen na merey zakhm bharey kabhi
Sabar-o-shukar ki haalatein na tujhey mileen na mujhey mileen

Teri manzilein kahein aur thein meri manzilein kahein aur thein
Kisi aek simt ki musafatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Tu thethar gaya kisi aur ke ghar mein ruk gaya kisi aur ke dar
Man-pasand si chaahatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Hamaari pur’khaloos neeyaton sey manzilein kyun chin gaein!
Muqaddaron sey wazahatein na tujhey mileen na mujhey mileen

Tuesday, July 15, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: