twitter

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar
Jo Sunaaii Dey Usey Chup Sikha jo Dikhaaii Dey Usey Khwaab Kar

Abhi muntashir Na ho Ajnabii Na Wisaal rut Key Karam jata
Jo Teri Talash Mein gum huay Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar

Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pey Yeh Abr Kyun
Mujhey Orhnay Dey Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar

Kahien Aablon Key Bhanwar Bajain Kahien Dhoop Roop Badan Sajain
Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj Dey Kabhi Chashm e Tar ko Chanaab Kar

Yeh Hajoom e Sitam-GaraaN Na Suney Ga Teri Sada Kabhii
Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Sey Khataab Kar

Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar hai Tahii Dasta Yaar Saja Isey
Koii Ashk Phir Sey Sharar Bana koii Zakhm Phir Sey gulaab Kar

Tuesday, July 15, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: