twitter

Meray dushmano say kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai
Keh shikast yun bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo missal thay, woh nahin rahay

Meray harf harf kay jism per
Jo ma’ani kay par-o-baal thay, woh nahin rahay
Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajaye phirtay khayal thay
Woh nahin rahay

Meray dushmanon say kaho koi
Woh jo shaam sher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay
Woh nahin rahay

Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay, wo nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishat main
Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia
Woh jo fatehana khumar main
Meray saray kha’b nihaal thay
Woh nahin rahay

Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main
Meray sur-khuroo mah-o-saal thay, wo nahin rahay
Keh bus ab to dil ki zuban per
Faqat aik qissa-e-haal hai ………
jo Nidhaal hai
Jo gaye dinon ka malaal hai
Meray dushmanon say kaho koi
Wednesday, July 30, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: