Main khud zameen hon magar zarf aasman ka hai
Keh toot kar bhi mera hosla chatan ka hai.
Bura na maan mere hurf zehar, zehar say hain
Main kya karon keh yehi zaiqa zuban ka hai.
Har aik ghar mein musallat hai dil ki weerani,
Tamaam sheher pe saya meray makan ka hai..
Bichartay waqt se ab tak main youn nahi roya
Woh keh gaya tha keh waqt imtehann ka hai
Musafiron ki khabar hai na dukh hai kishti ka
Hawa ko jitna bhi ghum hai wo baadban ka hai
Jo barg-e-zard ki soorat hawa main urta hai
Woh aik warq bhi meri apni daastan ka hai.
Yeh aur baat, adalat hai be-khabar warna
Tamaam shehar mai charcha mere bayan ka hai.
Asar dikha na saka us ke dil main ashk mera
Yeh teer bhi kisi toti hoi Kaman ka hai.
Bichar bhi jae magar mujh se be-khabar bhi rahe
Yeh hosla kahan meray badgumaan ka hai..
Qafas to khair muqaddar main tha magar Mohsin
Hawa main shor ab tak meri uran ka hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment