Ik Baar Phir Kaho Zara
Ik bar phir kaho zara,
Keh meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay
Meri teera zindagi ka noor tu
Jannat-e-arzi, maiN rashk-e-hoor tu
Lazzat-e-jaan, rahat-e-qalb-e-hazeen
Ishrat-e-nazzara, mehvesh, mehjabeen
Ik bar phir kaho zara,
Keh too bohat haseen hay
Nigah main shabab ka khumar hay
Sharm kay parday main pinhaan shokhiyan
Muskurahat main nihaan hon bijliyan
Her ada teri mujhay merghoob hay
Dehr ki her cheese say mehboob hay
Ik bar phir kaho zara ,
Keh paiker-e-fani hay kya
Keh dil to teri rooh per nisar hay
Jism fani, husn bhi fani mera
Jazb-e-dil lekin hay lafani mera
Mard herjai hay her gul per nisar
Dil magar deti hay aurat aik bar
Ik bar phir kaho zara ,
Keh mujh ko ghair ka khayal
Tauba tauba sakht nagavar hay
Man vohi hoon, man badal sakti nahin
Doosray saanchay main dhal sakti nahin
Ab teri taiver, teray qaul aur hain
Man kahan ab qabil-e-ghaur aur hain
Ik bar phir kaho zara ,
Keh mera ishq Mehr aur maah
Say ziyada paidar hay
Meray sir ki jhooti qasmain kya hooin
Zahiri ulfat ki rasmain kya hooin
Girya-e-paihem vo uljhan kya hui
Aanch ki tezi vo dharkan kya hui
Ik bar phir kaho zara,
Keh mera ishq Ustuvar
Rooh say ziyada ustuvar hay
Baandh ker ehd-e-vafa torra to kya
Sheesha-e-dil torr ker jorra to kya
Sub samajhti hoon magar maazoor hoon
Dil ki iss feryaad say majboor hoon
Ik bar phir kaho zara,
Keh meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay
2 comments:
-
Yasir
May 3, 2013 at 3:30 PMMeray sir ki jhooti qasmain kya hooin
Zahiri ulfat ki rasmain kya hooin
Girya-e-paihem vo uljhan kya hui
Aanch ki tezi vo dharkan kya hui
Ik bar phir kaho zara,
Keh mera ishq Ustuvar
Rooh say ziyada ustuvar hay
Awsome!!!!!!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
December 25, 2007 at 10:07 PM
ae kaashhh!!
Jism fani, husn bhi fani mera
Jazb-e-dil lekin hay lafani mera
Mard herjai hay her gul per nisar
Dil magar deti hay aurat aik bar
Ik bar phir kaho zara ,
i am simply awed!!