twitter

Aaj ki raat bohat sard bohat kali hai
Teergi aisay lipti hai hawa e ghum say
Apnay bichray huay sajan say mili hai jesay
Mashal e khwab kuch is taur bujhi hai jesay
Dard nay jagti aankhon ki chamak kha li hai
Shauq ka naam na khwahish ka nishan hai koi
Barf ki sil nay meray dil ki jagah pa li hai
Ab dhundalkay bhi nahi zeenat e chashm e bay khwab
Aas ka roop mehel dast tahi hai jesay!
Bahr e imkaan pay kaai si jami hai jesay!
Aisay lagta hai keh jesay mera mamoora e jaan
Kisi sailab zada ghar ki zuboon-hali hai
Na koi dost na tara keh jisay batlaoon!
Is tarah toot kay bikhra hai ana ka sheesha
Mera pindaar meray dil kay liye gaali hai
Nabz taaron ki tarah doob rahi hai jesay
Ghum ki pinhai samandar say bari hai jesay
Aankh sehraon kay daman ki tarah khali hai
Dasht e jaan ki taraf dekh ke yun lagta hai
Maut is tarah ke jeenay say bhali hai jesay
Teergi chatnay lagi, waqt rukay ga kyun ker
Subh khursheed liye dar pe khari hai jesay
Daagh e ruswai chupanay say nahi chup sakta
Yeh to yun hai keh jabeen bol rahi hai jesay

Amjad Islam Amjad
Thursday, April 21, 2016 | 0 comments | Labels:

0 comments: