twitter

Hum aisay marg talab bhi na thay muhabbat main
Keh jalti aag ke darya mein be-khatar jatay
(Yaqeen jaan meri jaan keh hum theher jatay)
Tumhari aankh ke aansu thay seel-e-aab na tha
Chalak bhi jatay agar, rizq-e-khaak ho jatay
(Misl-e-qatra-e-shabnam chamaktey, kho jatay)

Raha woh harf-e-wafa jis ki sabz konpal per
Tumharay bosa-e-lab se gulaab jagay thay
(So woh gulaab to shakhon say kat bhi saktayy hain)
Rahayy woh khwab jo ankhon kay aabgeenon mein
Dhanak kay rang liye doltey say rehtay thay
(So aisay khwab to aa kar palat bhi saktay hain)

So baat harf-e-wafa ki hai aur na khwabon ki
Na doltay hua rangon say pur gulabon ki
Samay kay charhtay utartay huay samandar mein
Sab ek pal ki haqeeqat, sab ek pal ka saraab
Dilon mein tark-e-tammana ka hosla ho agar
To kaisay harf-e-wafa aur kahan kay khwab-o-gulaab

Yeh kaisay dasht-e-nadamat mein ghir gaye aey jaan!
Keh ik to tark-e-tammana ka hosla hi nahi
Aur us pe yeh bhi qayamat, agar bafarz-e-muhaal
Tumhari raah say phirnay ka hosla bhi miley...
Palat ke jayen kahan, ghar ka rasta bhi miley!!!
Wednesday, October 7, 2015 | 0 comments | Labels:

0 comments: