twitter

Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain
Dekhna....had-e-nazar se aagey barh kar dekhna bhi jurm hai
Sochna....apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai
Aasman dar Aasman asraar ki parten hata kar jhankna bhi jurm hai
"Kyun" bhi kehna jurm hai....
"Kaisey" bhi kehna jurm hai!!!!
Saans lene ki to aazadi mayassar hai ... magar
Zinda rehne ke liye Insan ko kuch aur bhi darkar hai
Aur is "kuch aur bhi" ka tazkira bhi jurm hai !!!!

Ae hunar mandaan-e-aa'een-o-siaasat
Ae khuda-wandaan-e-aewaan-e-aqaa'id
Zindagi ke naam par bas ik inayat chahiye
Mujh ko in saray jaraa'im ki ijazat chahiye!!!!
Sunday, June 2, 2013 | 0 comments | Labels:

0 comments: