twitter

Meray saal-e-guzashta
Teray daaman mein
Meray ashkon ki dolat hai
Meri aahon ke naghmay hein
Meri subhon ke saray rang
Aur mehjoor raaton ke
Kai bey faiz sapnay hein

Meray saal-e-guzashta
Tu ne apny roz-o-shab saray
Meri tanhaai bhi dekhi
Meri ruswaai bhi dekhi
Meray yaaron ke saray roop
Sab behroop bhi dekhay
Mujhy jalta hua dekha

Meray saal-e-guzashta
Mein ke sadiyon sey
Teray dast-e-duaa mein
Ghamkadon mein bain kartay
Sar bureeda harf rezon ki
Sinaan per lehlahaatay aanchlon ko
Daan kar paya

Meray saal-e-guzashta bol
Kiya shikwa karoon tujh say
Ke hasrat ke siwaa mein nay
Tumhaari saij per bethi
Nai umeed ki dulhan ko
Munh dikhlaai kya di hai
Bara dukh hai

Meray saal-e-guzashta aa
Dareeda daamani, maflooj lehjay
Aur mazi ke her ik ghaao ko
Mil ke dafan kartay hein
Meri aankhon mein umeedon ke laashay
Ab talak bay-gor bikhray hein
Mein aankhein band karta hoon

Meray saal-e-guzashta aa
Thakan aalood rasmon ko bhula dalein
Mein in maqhoor haathon ko uthata hoon
Teray daman mein koi khwaab baaqi hai
To woh mujh ko saza kar day
Meri bay aabroo sochon ko
Goyai ataa kar day

Meray saal-e-guzashta aa
Ke ab ik feslaa kar lein
Nai sooraj ke pehlay din
Koi sapna naya dekhain
Wagarna aakhri shab ko
Tumhaary hamqadam mein' bhi
Adam ko laut jaaun ga
Thursday, August 27, 2015 | 0 comments | Labels:

0 comments: