twitter

Yeh pihlay ishq ki batain hain
Jab aankh main khwab damaktay thay
Jab dil main dagh chamaktay thay
Jab palkain sheher ke raston main
Ashkon ka noor lutati theen
Jab saansain ujlay chehron ki
Tun mun main phool sajati theen
Jab chaand ki rim jhim kirnon se
Sochon main bhanwar par jatay thay
Jab aik talatum rehta tha,
Apnay bay-unt khayalon main
Her ehd nibhanay ki rasmain
Jab aam theen hum dil walon main
Ab apnay bheegay honton per
Kuch jaltay bujhtay lafzon ke
Yaqoot pighaltay rehtay hain
Ab apni gum sum aankhon main
Kuch dhool hai bikhri yadon ki
Kuch gard alood say mausam hain
Ab dhoop ugalti sochon main
Kuch paimaan jaltay rehtay hain
Ab apnay weeran angan main
Jitni subhon ki chandni hai
Jitni shamon ka sona hai
Us ko khaakstar hona hai
Ab yeh batain rehnay deejiye
Jis umr main qissay buntay hain
Us umr ka gham sehnay deejiye
Ab apni ujri ankhon main
Jitni roshan si batain hain
Us umr ki sab saughatain hain
Jis umr kay khwab khayal huay
Wo pichli umr thi, beet gai
Wo umr bitaey saal huay
Ab apni deed kay rastay main
Kuch rung hai guzray lamhon ka
Kuch ashkon ki baratain hain
Kuch bhoolay bisray chehray hain
Kuch yadon ki barsatain hain
Yeh pichlay ishq ki batain hain

Mohsin Naqvi
Wednesday, November 5, 2014 | 1 comments | Labels:

1 comments:

  1. attractivesufyan
    July 2, 2015 at 10:11 AM

    Asslam u alaikum you have done awesome work ma'am i was in search of M.A English notes i reached here read notes copied them and also read the poetry you have shared in your blog great tast, job, work fabulous, Geo , Chah gayi ho