twitter

Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !
Zindagi say bhaag kar aaya hoon main,
Dar say larzaan hoon, kaheen aisa na ho
Raqs gaah ke chor darwaazay say aa kar zindagi
Dhoond lay mujhko, nishaan paa lay mera
Aur jurm e aish kartay dekh lay

Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !
Raqs ki yeh gardish
Ek mubham aasiyaa ke daur hain
Kaisi sargarmi say ghum ko raundta jata hoon main
Jee mein kehta hoon ke haan
Raqs gah mein zindagi ke jhaanknay say peshtar
Kulfaton ka sangreza ek bhi rahnay na paaye

Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !
Zindagi meray liye
Ek khooni Bherriye say kum nahin
Aye haseen o ajnabi aurat ! Usi ke Dar say main
Ho raha hoon lamha lamha aur bhi teray qareeb
Janta hoon tu meri jaan bhi nahin
Tu meri un aarzuwon ki magar tamseel hai
Jo raheen mujh se gurezaan aaj tak
Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !

Ehdve paareena ka main insan nahin
Bandagi say is dar o deewaar ki
Ho chuki hain khwaahishain bay soz o rung o naatawan
Jism say teray lipat sakta to hoon
Zindagi par main jhapat sakta nahin
Is liye ab thaam lay
Aye haseen o ajnabi aurat mujhay ab thaam lay !

Noon Meem Rashid
Thursday, October 9, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: