twitter

Kya kahoon bhayanak hai,
Ya haseen hai ye manzar
Khwaab hai keh bedaari,
Kuch pata nahin chalta
Phool bhi hain saaye bhi
Khaak bhi hai paani bhi
Aadmi bhi mehnat bhi
Geet bhi hain aansoo bhi
Phir bhi ek khaamoshi
Rooh o dil ki tanhaai
Ik taveel sannata
Jaisay saanp lahraey
Maah o saal aatay hain
Aur din nikaltay hain
Jaisay dil ki basti say
Ajnabi guzar jaaye
Cheekhti hueen Ghariyan
Zakhm khurdaa taa'ir hain
Narm rau subak lamhay
Munjamid sitaaray hain
Rengti hain taareekhain
Roz o shab ki raahon par,
Dhoondtay hain chashm o dil
Naqsh e paa nahin miltay
Zindagi kay guldastay
Zeb e taaq e nisyaan hain

Pattiyon ki palkon par
Oas jagmagaati hai
Imliyon kay pairron par
Dhoop par sukhaati hai
Aaftaab hanstaa hai
Muskuratay hain taaray
Chand kay katoray say
Chandni chalakti hai
Jail ki fizaaon mein
Phir bhi ik andhera hai
Jaisay rait mein gir kar
Doodh jazb ho jaaye
Roshni kay gaalon par
Teergi kay naakhun ki
Sainkron kharashain hain
Pathar ki deewaarain
Baarkon ki taameerain
Azhadon ke paikar hain
Jo naye aseeron ko
Raat din nigaltay hain
Behisi ki mohray hain

Pathar ki deewaarain

Pathar kay farsh aur chhut
Patharon ki mehraabain
Patharon ki aankhain hain
Patharon kay darwaazay
Patharon ki angraai
Patharon kay panjon mein
Aahni salaakhon hain
Aur in salaakhon mein
Hasratain, tamanna'ein
Aarzuain, umeedain
Khwaab aur taabeerain
Ashk phool aur shabnam
Chaand ki jawan nazrain
Dhoop ki sunehri zulf
Badalon ki parchha'een
Subh o shaam ki paryan
Maasoomon ki laila'ein
Sooliyon pe chharhti hain
Aur is andheray mein
Sooliyon ke saaye mein
Inqalaab paltaa hai
Teergi ke kaanton par
Aaftab chalta hai
Patharon kay seenay say,
Surkh haath ugtay hain
Haath hain keh talwaarain
Raat kay andheray mein
Jaisay shama jalti hai
Ungliyan farozaan hain
Baarkon ke konon say
Saazishain nikalti hain
Khaamushi ki nabzon mein
Ghantiyaan si bajti hain

Jaanay kaisay qaidi hain
Kis jahaan say aaye hain
Naakhunon mein keelain hain
Haddiyaan shikasta hain

Naujawaan jismon par
Pairahan hai zakhmon kay
Jagmagatay maathon par
Khoon ki lakeeren hain
Ashk aag kay qatray
Saans tund aandhi hai
Baat hai keh toofaan hai
Abru'on ki jumbish mein
Azm muskuratay hain
Aur nigah ki larzish mein
Hauslay machaltay hain
Teweriyon ki shiknon mein
Naqshay paa baghaawat kay

Jitna zulm sahtay hain
Aur muskuraatay hain
Jitna dukh uthaatay hain
Aur geet gaatay hain
Jabr aur barhta hai
Zahr aur charhta hai
Zaalimon ki shiddat par
Zulm cheekh uthtaa hai
Un kay lab nahin hiltay
Un kay sar nahin jhuktay
Dil say aah kay badlay
Ik sada nikalti hai
''Inqalaab zindabaad''

Khaak e paak kay betay
Khetiyon kay rakhwaalay
Haath kaarkhaanon kay
Inqalaab ki shah par
Kohsaar ke shaahi
Patharon ki koron par
Aandhiyon ki raahon par
Bijliyon ki baarish mein
Goliyon ke toofaan mein
Sar uthaaye baithay hain

Inqalaab saamaan hai
Hind ki fiza sari
Naz'aa kay hai aalam mein
Yeh nizam e zardaari
Waqt kay mahel mein hai
Jashn e nau ki tayaari
Jashn e aam e jamhoori
Iqtidaar e mazdoori
Muflisi o naadaari
Teergi ke baadal say
Jugnu'on ki baarish hai
Har taraf andheraa hai
Aur is andheray mein
Har taraf sharaaray hain
Koi keh nahin saktaa
Kaun sa sharaara kab
Beqaraar ho jaaye
Sholaabaar ho jaaye
Inqalaab aa jaaye
Inqalaab aa jaaye

Ali Sardaar Jaafri
Thursday, October 9, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: