twitter

Wafoor e kaif say dil itna bay qarar na ho
Main dar raha hun ke muztar nigah e yar na ho

Shareek e ishq agar aqal parda dar na ho
Nazar ke samnay kuch bhi siwae yar na ho

Nigah e yaar ka mumkin nahin ke war na ho
Khud apna aib hi seena agar figar na ho

Dikhaoon dagh e mohabbat jo ho qusoor maaf
Sunaoon qissa e furqat, jo na gawar na ho

Kahan ke saru o sanober, kahan ke lala o gul
Nigah hi main jo kafiyat e bahar na ho

Unhain to dekh ke aaina weham aata hai
Keh yeh kisi ki kahin chashm e intazar na ho

Ajab zamana hai, karta nahin isey tasleem
Kisi sabab say ba zahir jo beqarar na ho

Bas ik nigah e mohabbat se dekh lena hai

Magar, jo khatir e nazuk pe ye bhi bar na ho

Naseeb dil ko ho yun mehw e aarzoo hona
Keh khud bhi chahen agar wo, to hoshyar na ho

Bharay huay hain nigahon main husn ke jalway

Yeh kya majal,jahan main hun, or bahar na ho

Khayal e wasl se kar to raha hun kuch batain
Qareeb hai kaheen lekin nigah e yar na ho 


Main sun ke hazrat Asghar ke ae jigar!ashaar
Woh mast hoon ke koi pi ke bada khawar na ho
Tuesday, March 11, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: