twitter

Mushkil hai ab sheher mein nikay koi ghar say
Dastaar pe baat aa gai hai hoti hui ser say

Barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
Ik umr meray khait thay jis abr ko tarsay

Is baar jo eindhan ke liye kat ke gira hai
Chiryon ko bara pyar tha us boorhay shajr say

Mehnat meri aandhi se to mansuub nahin thi
Rehna tha koi rabt shajr ka bhi samar say

Khud apnay se milne ka to yarana tha mujh mein
Main bheer mein gum ho gai tanhaai ke dar say

Benaam musaafat hi muqaddar hai to kya gham
Manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar say

Pathraya hai dil yun ki koi talism parha jaaye
Ye sheher nikaltaa nahin jadu ke asar say

Nikale hain to raste mein kahin shaam bhi hogi
Suraj bhi magar aaye ga is raah-guzar say

Perveen Shakir
Tuesday, March 4, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: