twitter

Hawa bhi khushgawar hai, gulon pe bhi nikhar hai​
Tarannumein hazaar hai, bahaar purbahaar hai​
Kahan chalaa hai saaqiya, idhar to laut idhar to aa​
Arey, yeh dekhta hai kya? Uthaa sabu, sabu uthaa​
Sabu uthaa, pyala bhar, pyala bhar ke day idhar​
Chaman ki simt kar nazar, samaan to dekh bekhabar​
Woh kaali kaali badliyaan , ufaq peh ho gai ayaan
Woh ik hajum-e-maikashaan, hai su-e-maikada rawan​
Yeh kya guman hai badguman, samajh na mujh ko naatavan​
Khayal-e-zohd abhi kahan? Abhi to main jawaan hoon


Ibaadaton kaa zikr hai, nijaat ki bhi fikr hai​
Junoon hai sawaab ka, khayal hai azaab kaa​
Magar suno to shaikh ji, ajeeb shay hain aap bhi​
Bhala shabab-o-aashiqui, alag huay bhi hain kabhi?​
Haseen jalwa-rez hon, adaaein fitana khaiz hon
Hawaaein itr-bez hon, to shauq kyun naH taiz hon?​
Nigaah hai fitana gar, koi idhar koi udhar​
Ubhartaye hon aish par, to kya karey koi bashar?​
Chalo ji qissa mukhtasir, tumhara nuqta-e-nazar​
Durust hai to ho magar, abhi to main jawaan hoon


Yeh gasht kohsaar ki, yeh sair ju-e-waar ki​
Yeh bulbulon ke chehchahey, yeh gulrukhon ke qahqahey​
Kisi sey mail ho gya, to ranj-o-fikr kho gya​
Kabhi jo waqt so gya, ye hans gya woh ro gya​
Yeh ishq ki kahaniyan, yeh ras bhari jawaaniyan
Udhar sey meharbaniyan, idhar sey lantaraniyan​
Yeh aasman yeh zameen, nazara haa-e-dilanasheen​
Unhain hayat afareen, bhala main chor doon yahin
Hai maut is qadar qareen, mujhey na aaye ga yaqeen​
Nahin nahin, abhi nahin, nahin nahin abhi nahin

​ Na gham kashood-o-bast ka, baland ka na pust ka​
Na bood ka na hast ka, na wadaa-e-alast ka​
Umeed aur yaas gum, hawas gum qayas gum​
Nazar sey aas-paas gum, hama, bajuz gilas gum​
Na mai mein kuch kami rahey, qadah sey hamdami rahey​
Nashist yeh jami rahey, yahi hama hami rahey​
Wo raag cherr mutrabaa, tarab-fizaa, alam-rubaa​
Asar sadaa-e-saaz ka, jigar mein aag de laga
Har ik lab pe ho sada, na haath rok saaqiya​
Pilaye ja pilaye jaa, abhi to main jawaan hoon



Hafeez Jallandhari
Monday, March 10, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: