twitter

Yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko
Magar kya ho gya hoon aur kya hona tha mujh ko

Abhi ik leher thi jis ko guzarna tha saron se
Abhi ik lafz tha main aur ada hona tha mujh ko

Phir us ko dhoondnay main umr sari beet jati
Koi apni hi gum gashta sada hona tha mujh ko

Pasand aaya kisi ko mera aandhi bun ke uthna
Kisi ki raaey main baad e saba hona tha mujh ko

Wahan se bhi guzar aaya hoon khamoshi se ab ke
Jahan ik shor ki soorat bapa hona tha mujh ko

Dar o deewar se itni mohabbat kis liye thi
Agar is qaid khanay se reha hona tha mujh ko

Main apni raakh se bay shak dobara sir uthata
Purani khenchli main hi naya hona tha mujh ko

Zafar, main ho gya kuch aur, werna asl main to
Bura hona tha mujh ko, ya bhala hona tha mujh ko
Friday, January 10, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: