twitter

Tumhain kis ne kaha tha yeh
Kisi sunsaan raastay per
Kisi anjaan chehray se
Zara si aashnai ko
Bohat hi khaas likh dalo
Kaheen do chaar baton ko
Bohat pyara sa tum dilkash
Haseen ehsas likh dalo
Tumhain kis ne kaha tha yeh
Suno aye moam ki gurya
Ab is daur kay andar
Koi majnoon nahi banta
Koi ranjha nahi hota
Qadam do chaar chalnay se
Safar saanjha nahi hota
To in baykaar sochon pe
Suno! Ronay ka dar kesa
Jisay paya nahi tum ne
Usay khonay ka dar kesa
Saturday, December 28, 2013 | 0 comments | Labels:
Kaha us ne, zamana dard hai aur tum dawa jese
Laga tum se mohabbat hai, mujhe us ne kaha jese

Talab ki us ne jab mujh se mohabbat ki wazahat to
Bataya, dasht ke honton pay barish ki dua jese

Suno kyun dil ki basti ki taraf se shor uthta hai?
Batay, hadsa ehsaas kay ghar mein hua jese

Kaho ae gul, kabhi khushbu ka tum ne aks dekha hai?
Kaha, qaus e qazah kay sare rangon ki sada jese

Suno, kwahish ki lehron per sambhalna kyun hua mushkil?
Bataya paaniyon per khwab ki rakhi thi bina jese

Bhala tum rooh ki in kirchiyon mein dhoondte kya ho?
Kaha, yeh itni roshan hain ke sooraj hai diya jese

Suno ankhon hi ankhon ka bayan kesa laga tum ko?
Laga, phoolon se sargoshi si karti ho saba jese
Friday, December 20, 2013 | 0 comments | Labels:

 1976: Perveen Shakir with her husband Dr. Naseer Ali 
| 0 comments | Labels:
December Ke Maheenay Ka
Wo Shayad 11wan Din Tha
Kahin Guzray Baras Main Ne
Mohabbat Lafz Likha Tha
Kisi Kaghaz Ke Tukrey Par
Achanak Yaad Aaya Hai
Kahin Guzray Baras Mujh Ko
Kisi Se Baat Karni Thi
Usey Kehna Tha Jaan e Jaan
Mujhay Tum Se Mohabbat Hai
Magar Main Keh Nahi Paya
Wo Kaghaz Aaj Tak Lipta Para
Hai Dhool Mein Lekin
Kisi Ko Day Nahi Paya
December Phir Se Aaya Hai
December Chala Bhi Jaye Ga
Magar!
Dobara Chaah Ker Bhi Main
Mohabbat Ker Nahi Paya
Thursday, December 19, 2013 | 0 comments | Labels:
Harf e na gufta ke aazar se hoshyar raho
Kuay o barzan ko
Dar o baam ko
Sholon ki zuban chaat'ti ho
Woh dehn basta o lab dokhta ho
Aiasy gunahgaar se hoshyar raho!

Shahna e shehr ho, ya banda e sultan ho
Agar tum se kahay: "Lab na hilao"
Lab hilao, nahi, lab hi na hilao
Dast o bazu ko zuban o lab e guftar banao
Aisa kohram machao keh sada yaad rahay
Ehl e darbaar ke atwaar se hoshyar raho!

In ke lamhaat kay aafaaq nahi
Harf e na gufta se jo lehza guzar jaye
Shab e waqt ka payan hai wohi!
Haey, wo zeher jo sadiyon ke rag o pay main sama jaye
Keh jis ka koi taryaaq nahi
Aaj is zeher ke barhtay huay
Aasar se hoshyar raho
Harf e na gufta ke aazar se hoshyar raho!

Noon Meem Rashid
Sunday, June 2, 2013 | 0 comments | Labels:

Sada-e-aarzoo
Wisaal-e-yaar ke
Khayal-o-khwab main
Jo ho gai magan
To lafz kho gaye
Dua-e-neem shab
Adhoori reh gayi
Jo baat thi buhat
Zaroori, reh gayi
| 0 comments | Labels:
Zindagi ke jitne darwaaze hain mujh par band hain
Dekhna....had-e-nazar se aagey barh kar dekhna bhi jurm hai
Sochna....apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai
Aasman dar Aasman asraar ki parten hata kar jhankna bhi jurm hai
"Kyun" bhi kehna jurm hai....
"Kaisey" bhi kehna jurm hai!!!!
Saans lene ki to aazadi mayassar hai ... magar
Zinda rehne ke liye Insan ko kuch aur bhi darkar hai
Aur is "kuch aur bhi" ka tazkira bhi jurm hai !!!!

Ae hunar mandaan-e-aa'een-o-siaasat
Ae khuda-wandaan-e-aewaan-e-aqaa'id
Zindagi ke naam par bas ik inayat chahiye
Mujh ko in saray jaraa'im ki ijazat chahiye!!!!
| 0 comments | Labels:
Tum hi achay thay kisi se kabhi takraar na ki
Tum keh takrar ke khu-gar bhi na thay
Tum hi achay thay
Jo min-jumla e arbaab e nazr rehtay thay
Itnay saada thay kej zakhmon ko hina kehtay thay
Shehr e pur-hosla main
Shewa e ehl e hunr per kabhi tanqeed na ki
Itnay be-bas thay keh jab waqt para
Apni bhi taa'eid na ki

Hum buray log hain sach kehty hain
Hum buray log hain, khushnoodi e arbaab e asr ke baaghi
Kabhi qatray ko samandar na likha
Kisi zarray ko bhi sehra na kaha
Qarz e aaina chukanay ke liye aks se mehroom rahay
Aur insaan se muhabbat ka sila ?
Ik saza yaafta mujrim ki tarha zinda rahay
| 0 comments | Labels:
Kuch Zikr Karo Us Mousam Ka, Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi
Jab Subah Ka Roop Roopehla Tha, Jab Shaam Behter Saheli Thi

Jab Phool Mehakti Raahon Per, Qadmon Se Gajar Baj Uthtay thay
Jab Tan Mein Saans Kay Sargam Ki, Her Deepak Taan Sureeli thi

Jab Khwab Sarab Jazeeron Mein, Khush Fehm Nazer Khul Jati thi
Jab Pyar Pawan Kay Jhonkon Say, Her Yaad Ki Mouj Tasheeli Thi

Amrit Ki Mehak thi Baaton Mein, Nafret Ke Sharar Thay Palkon Per
Woh Hont Nehayet Meethay thay, Woh Aankh bohat Zehreeli thi

Mohsin Us Shehar Mein Marnay Ko ab Is ke Siwa Kuch Yaad Nahin
Kuch Zehar tha shehar ke Paani Mein Kuch Khaak ki Rangat neeli thi
| 0 comments | Labels:
Yeh khalq e kuda jo bikhray huay
Bay naam o nishan patton ki tarah
Bay chaen hawa ke rastay main ghabrai hui si phirti hai
Aankhon main shikasta khwab liye
Seenay main dil e baytaab liye
Honton main karahain zabt kiye
Mathay kay dareeda safhay per
Ik mohr e nadamat sabt kiye
Thukrai hui si phirti hai
Aye ehl e chashm! Aye ehl e jafa!
Yeh tabl o alam, yeh taaj o kullah o takht e shahi
Is waqt tumharay sath sahi
Tareekh magar yeh kehti hai
Isi khalq e khuda ke malbay se ik goonj kaheen se uthti hai
Yeh dharti kerwat leti hai aur manzar badlay jatay hain
Yeh tabl o alam, yeh takht e shahi, sab khalq e khuda ke malbay ka
Ik hissab bantay jatay hain
Her raaj mehel ke pehlu main ik rasta aisa hota hai
Maqtal ki taraf jo khulta hai, aur bin batlaaye aata hai
Takhton ko khali kerta hai aur qabrain bharta jata hai
| 0 comments | Labels:
Ye shahr apna, ajab shahr hai
Ke raaton ko
Sarak pe chaliye to sargoshiyaan si karta hai
Bula ke zakhm dikhata hai.
Raaz-e-dil ki tarah
Dareechay bund
Nidhaal deevaren
Kivaar mohr-ba lab
Gharon men mayyaten thehri hui hain barson se
Kraaye par —— !
| 0 comments | Labels:
Tum gadagar ke gadagar hi rahay
Tum ne kashkol teh e jama e banaat chupa rakha tha
Aur chehray per ana thi
Jo hamesa ki tarah jhooti thi
Wo yeh kehti hui lagti thi keh hum bheek nahi mangain gay
Yani Mar jain gay lekin ..
Kisi munim ke dar e zar per dastak na dain gay
Yeh jo girtay huay sikkon ki khanak chaar taraf goonji hai
Yeh shuneeda hai kai barson se
Aur kashkol ka lehja bhi wohi hai jo hamain azbar hai
Lakh inkar karo, lakh bahanay dhoondo
Tum gadagar ke gadagar hi rahay

Ahmed Nadeem Qasmi
| 0 comments | Labels:
Aik shab apnay dareechay main kharay thay janan
Aur bahir kay adhairay se koi dekay to
Apnay chehray thay jo khirki main jarray thay janan
Mujh ko to maloom hai khoon apna bus aik daira hai
Dard ka khail faqat lamha e maujood ka hai
Pichli tareekh se aaghaz nahi ho sakta
Bhool jaoon to koi andaz nahi ho sakta
Bhool jaoon to koi yaad nahi aaye gee
Yeh koi hal koi andaz nahi ho sakta
Ab bhi aai hai bahaar, aa ke chali jaye gee
Mujh ko maloom hai khoon apna bus ak daira hai
Ittefaqan kabhi main peda hua thay jesay
Jab meri maut bhi aaye gee yunhi aaye gee

Jamshed Masroor
| 0 comments | Labels:
Dehkay aariz ... aainay main taiz sholon ki zia
Ahmareen lab ... zakhm e taza mauj e khoon se aashna
Teekhay abroo ... lauh e seemeen per dhuwain ka khat khincha
Bikhray gaisu ... kali raton ka mulaim dhair sa
Behti afshan ... jagmagati mas'alon ka qafla
Kehri aankh ... dur tak manzar suhanay khwab ka

Aab e ju main aik talismi aks ubhra tha abhi

Nuqrai pani kay jo aanchal main jhilmil ker rahi thi, kon thi
Hoor thi takhayyul ki ramzon ki ya wo jal pari thi, kon thi
Us paheli ki girah khulnay se pehlay hi nighaon per meri
Reshmi qadmon ki aahat se khala ki sabz chilman aa giri
Aab e ju main narm lehron ka kharam e bay jaras
Ya kaf e sahil pe meray naqsh e pa thay aur bus!

| 0 comments | Labels:
Jo kuch kahain to dareeda dahan kaha jaey
Ye shahr kya hai yahan kya sukhan kaha jaey

Bazid hai taisha e khooneen liye huay koi shakhs
Keh gorkan ko bhi abb kohkan kaha jaey

Agar hujoom sadaaon kay dekhna chahoo
To shart ye hai k pehlaa sukhan kaha jaey

Chiragh bujhte hi rahte hain par jo abb k huwa
Usay hawaaon ka deewana pan kaha jaey

Ajeeb rasm hai jo sadr e anjuman hai Faraaz
Woh chaahta hai usay anjuman kaha jaey
| 0 comments | Labels:
Kyun Raat Ke Kankar Chunti Ho?
Kyun Sanattey Ki Silwat Main
Lipti Awazain Sunti Ho?
Kyun Apni Pyasi Palkon Ki Jhalar Main
Khwab Piroti Ho?
Kyun Roti Ho?

Ab Kon Tumhari Ankhon Main
Sadiyon Ki Neend Undailey Ga?
Ab Kon Tumhari Chahat Ki
Haryali Mein Khil Khilaye Ga?
Ab Kon Tumhari Tanhai Ka
Un-Dekha Dukh Jhelay Ga?

Ab Aisa Hai?
Yeh Raat Musallat Hai Jab Tak
Yeh Shamain Jab Tak Jalti Hain...
Yeh Zakhm Jahan Tak Chubhtay Hain
Yeh Sansain Jab Tak Chalti Hain

Tum Apni Soch Ke Jungle Main
Raa'h Bhatko Aur Phir Kho Jao
Abb Soo Jao
| 0 comments | Labels:
Jab apni apni mehroomi se dar jatay thay hum dono
Kisi gehri udaasi main utar jatay thay hum dono

Bahar-e-shoq main Baad-e-Khizan aksar chalti thi
Shaguft-e-gul ke mausam main bikhar jatay thay hum dono

Tumharay shaher ke charo taraf pani hi pani tha
Wohi ik jheel hoti thi jidher jatay thay hum dono

Sunehri machliyan, Maahtab or Kashti ke undar hum
Ye manzar gum tha phir bhi jheel per jatay thay hum dono

Zamistan ki hawaon main faqat jismon ke khaimay thay
Dubak jate thay in main jab thithar jatay thay hum dono

Ajab ik be yaqeeni main guzarti thi kinaray per
Thehrtay thay, na uth ke apne ghar jatay thay hum dono

Bohat sa waqt lag jata tha khud ko jama karnay main
Zara si baat per kitna bikhar jatay thay hum dono

Kahin jana nahi tha is liye ahista rau thay hum
Zara sa fasla ker ke theher jatay thay hum dono

Zamana dekhta rehta tha hum ko chor aankhon se
Na jane kin khayalon main guzar jatay thay hum dono

Bus itna yaad hai pehli mohabbat ka safar tha wo
Bus itna yaad hai sham o seher jatay thay hum dono

Hadood-e-Khwab se aagay hamara kon rehta tha
Hadood-e-Khwab se aagay kidhar jatay thay hum dono

Abbas Tabish
| 0 comments | Labels:
Tareekh Ki Uljhi Galiyon Mein
Kuch Dhair Paray Hein Malbay Ke
Malba Jo Hamaray Dard Ka Hai
Har Dekhnay Wali Aankh Ka Hai
Har Sochnay Walay Fard Ka Hai
Har Manzar Dhundla Dhundla Hai
Kuch Aisa Parda Gard Ka Hai

Wo Log Jo Aagay Guzar Gaye
Kya Sach Tha Unka Jhoot Tha Kya
Kis Haq Ki Khatir Lartay Thay
Kis Zulm Ke Haathon Martay Thay
Kya Khwab Thay Unki Aankhon Ke
Or Kya Unki Tabeeren Theen?
Jo Seel-E-Zamaan Ka Rizq Hoeen
Wo Kya Mohkam Taameeren Theen?
Arzhang Jo Leer-O-Leer Huwa
Kya Kya Us Men Tasveeren Theen?
Or Pani Par Jo Likhi Gaeen
Wo Kya Mushkil Tehreeren Theen

Ik Dasht Ki Jalti Mitti Par
Kya Behtay Lahu Ne Likha Tha
Pardes Ke Qatil Raston Main
Kya Martay Huwon Ne Socha Tha
Jo Ahle-Chashm Ki Saff Main Gaye
Mehlon Main Takhat Nasheen Huay
Muflis Ke Lahu Ke Cheenton Se
Wo Daman Jo Rangeen Huay
Or Khalq-E-Khuda Ki Qismat Ke
Jo Maalik Ban Kar Baith Gaye
Laashon Par Masnad Rakhi Or
Phir Us Pe Tann Ke Baith Gaye

Or Wo Jo iLm Ke Joya Thay
Taaron Pe Kamandain Daaltay Thay
Jo Apni Soch Ke Gulshan Main
Aafaaq Ke Taa'ir Paaltay Thay
Taksaal Main Fikr-E-Farda Ki
Wajdaan Ke Sikkay Dhaaltay Thay
Or Wo Jo Ishq Men Rusva Thay
Jo Mirza, Ranjha, Heer Huay
Khud Dhoonda Husn Ke Phanday Ko
Phir Chal Kar Aap Aseer Huay
Baatan Main Utar Kar Harfon Ke
Jo Ghalib, Khusro, Meer Huay
Ye Sab Or Inn Se Or Kayi
Is Seel-E-Zaman Ka Rizq Banay
Is Gard Ke Manzar Namay Main
Ik Abr-E-Guman Ka Rizq Banay

Ab Apni Apni Rau Main Hain
Hai Kis ko Fursat, Kon Rukay
Kya Raaz Hain Dil Darvaazon Ke?
Ab Kon Sunay Or Kon Kahay
Kuch Ghut'ti, Marti Cheekhen Hain
Kuch Larzi Hui Avaazain Hain
Kuch Khauf Hai Pathar Bannay Ka
Kuch Bhatkay Huay Andaazay Hain
Kuch Zakhm Hain Jin ke Naam Nahi
Kuch Bhugtay Huay Khamyaazay Hain
Tarteeb Kesay Ho Saf'hon Ki
Sab Bikhray Huay Sheerazay Hain

Murghon Ki Tarah Iss Malbay Main
Minqaar Daba Kar Kya Hoga
Ye Raunday Huay Se Taaj O Kalaah
Maathon Par Saja Ke Kya Hoga

Jo Nauhon Main Tabdeel Huay
Wo Naghmay Gaa Kar Kya Hoga
Aglon Ki Jeet Or Haar Se Ham
Kyun Khush Hain, Kyun Sharminda Hain
Hai Lauh-E-Jahaan Pe Darj Yehi
Ham Apna Aap Aainda Hain
Bas Aik Haqeeqat Yaad Rahay
Jis Saans Talak Ham Zinda Hain
Aao Ke Chunain Iss Malbay Se
Jo Khwab Abhi Tabinda Hain
Un Jazbon Ki Tauqeer Karain
Jo Anmit Hain, Paainda Hain
Bas Un Taaron Ki Baat Karain
Jo Bujh Kar Bhi Rakhshinda Hain

Is Gard Ke Manzar-namay Main
Jo Apnay Kahay Se Ruk Jaaye
Aisa To Koi Mausam Bhi Nahi
Ye Sach Hai Aankh Jhapaknay Tak
Manzar Bhi Nahi Or Ham Bhi Nahi
Ay Baad-E-Fana Se Dartay Dil
Jo Dekh Sakay To Kam Bhi Nahi
Ye Nazaaray Ki Fursat Bhi
Kuch Kar Saknay Ki Taaqat Bhi
Ye Pal Do Pal Ki Mohlat Bhi
| 1 comments | Labels:
Jab dard puranay ho baithay..
Jab `yaad ka jugnu`raakh hua
Jab aankh main aaansoo barf huay
Jab zakhm se dil manoos hua
Jab tees ko chubhna bhool gia
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharhakna yaad aya!!!

Jab karb ki lambi rahon main
Ahsas k baal safaid huay
Ya soch ki sarma dhoopon main
Alaam ka mevah khushk hua
Jab aankhain 'be sailaab'huin
Jab neendain Aandhi ho baithin
Jab khawabain bhi 'be khawab' huin
Jab chaand charha be dardi ka
jab tanhaii ka seena bhi
Ser rakhnay ki aagosh laga
Jab rait peh likhi yaadon ko
Be mehr hawa ne cheen lia
Jab hosh ki kachi dewarain
Tasweeron se azad huin
Jab 'yaad ruttain' be dad huin
Tab mujh peh khula main zinda hun!!!
Phir dil ko dharakna yaad aya!!!
| 0 comments | Labels:
Chaman zadon se kehna
Dil ne aisay zakhm khaye hain
Wo sadmay aazmaye hain
Keh ab lehn e hawa main wehshat e uftaadgi hai
Aur na andhi aankh khwabon ko tarasti hai
Chaman zadon se kehna
Tum ne wo batain bhula i thee
To ab kyun dil ko khanon main muqayyad ker rahay ho
Jantay ho
Hum to zauq e qaid e hasti kay puranay khosha-cheen hain
Jantay ho
Hum ne sadyon ki garan-khwabi ko khud apna muqaddar ker liya tha
Jantay ho
Wehshat e uftaadgi lazzat hai
Aur lazzat to zakhmon kay aqb say aanay wali
Us hararat ko kaha kertay hain
Jo sadmon ko kundan ker diya kerti hai

| 0 comments | Labels:
Bas ek lamhay Ka jaghra tha
Dar-o-Dewaar Pay aisay Channakay Say Geri Awaaz
Jesay kaanch Girta Hay
Har Ek Shay Mein Gaeen
Urti Hui, Jalti Hui Kirchein
Nazar Mein, Baat mein, Lehjay Mein
Soach Or Saans Kay Andar
Lahoo Hona Tha Aik Rishtay ka
So Woh Ho Gya US Din
Usi Awaaz Kay Tukray Utha Kar Farsh Say Us Shab
Kisi Nay Kaat Lein Nabzein
Na Ki Awaaz Tak Kuch Bhi
Keh Koi Jaag Na Jaye
Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha
Bas Aik Lamhay Ka Jaghra Tha
| 0 comments | Labels: