twitter

Mujhay tum se muhabbat ho gai thi
Keh tum apnay akelay pan ka dukh lay ker
Meray rastay main aye thay
Tumhari aankh say tanhayi ka azar behta tha
To main ne tum ko un chehron ki qurbat baksh di
Aisay manazir tum pay roshan ker diye
Jin per basarat naaz kernay kay bahanay dhoondti hai
Tumhari guft o gu mayoos sannaton ka jungle thi
So main ne tumko aisi mehfilon ki awwaleen saf main bithaya
Aisay logon say milwaya
Jahan hoonton ki junbish naujawan qison main dhalti hai
Qehqahon ki rasm chalti hai
Tumhain apni sama’at say bhi shikwa tha
Keh tum ne naghmagi kay din nahi dekhay
Harf ko awaz kay pehlu main khwabeeda nahi paya
So main bhi gungunati subh ki manind lehjoon ko
Tumharay zoaq ki mehroom khilwaton main bula laya
Kai ras gholti shamain
Tumhari rooh main baydaar ker daleen
Magar hona wohi tha
Magar hona wohi tha
Jo ta’lluq jornay walon ka dayreena muqaddar hai
Guzishta raat tum ne mujh ko baymasraf samajh ker
Apnay Hangamon ki janib hi nazar rakhi
Lehaza ab ijazat do
Meray rastay ki janib ghor say dekho
Wo dekho ek dermaanda musafir
Meri qurbat ke liye baychain lagta hai
Tum uski aankh say tanhai ka aazar behta dekh saktay ho
Aur us ki guftogu mayoos sannaton ka jungle hai
Usay apni sama’at say bhi shikwa hai
Mujhay us say muhabbat ho gai hai

Azm Behzad
Tuesday, September 11, 2012 | 0 comments | Labels:

0 comments: