twitter


Ye zindagi hay ka hai chaman, ajab yahan ka hai chalan
Koi kisi pay taana zan, koi kisi pay khanda zan

Kisi ko aish ki hawas, kisi ko ghum hi raas hai
Kisi ki aarzoo jawaan, kisi ka dil udaas hai
Isay khizaan se pyaar hai, usay bahaar ki lagan
Koi kisi pay taana zan, koi kisi pay khanda zan

Gham-o-alam ki aanch se, kabhi jo dil pighal gaye
To anjuman mein qehqahay bhi aansuo'n mein dhal gaye
Hawa-e-ghum ki mauj se bujhay charaagh-e-anjuman
Koi kisi pay taana zan, koi kisi pay khanda zan

Tarap rahi hain bijliyan, wo jal raha hay aashyaan
Wo lut raha hay gulistaan, wo hans raha hay baghbaan
Wo aa rahi hain aandhiyan, liye bahaar ka kafan
Koi kisi pe taana zan, koi kisi pe khanda zan
Monday, April 14, 2008 | 2 comments | Labels: