Author: Last Island
•3:45 AM

Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kay
Wasl ki zaroorat par
Phir say zor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron say
Dard aan lipta hai
Toot'tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard say ulajhtay hein
Zabt chor detay hein
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula kay ham
Aa kay jor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat'tay hein
Raah mor detay hein
Sabz sabz maosam main
Laal laal aankhon kay
Khwaab ki ragon se ham
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab tor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar kay alwidaa
Mauqa auor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rab pe chor detay hein


Author: Last Island
•3:44 AM


Ik shab aankh kinaray …

Neend say pehlay aao,

Khwab-e-safar per saath chalain gay

Ik doojay ka haath pakar ker …

Jhootay sachay ehed karain gay,

Main kuch un dekhay sapnon ki ..

Ungli thaam kay lay aaon gee,

Tum kuch ru-pehli taberain ..

Zaad-e-safar kay taur per lana … …

Ho sakta hai khwab-e-safar main

Barish bhi ho, aandhi bhi ho

Ho sakta hai toofanon nay,

Shart safar say baandhi bhi ho …

Ho sakta hai kuch jugnoo, kuch taaray

Apni raah main aain

Ho sakta hai ghor andhairay main hi

Hum donon kho jain

Is jungle main nadi kinaray

Thoray sapnay bo aain gay

Aur behti nadi main donon

Gham ki gard bhi dho aain gay

Ik bargad kay pair kay neechay

Teray shanay per sir rakh ker

Main apnay sab dukh ro loon gee

Tum apni jalti aankhon per

Meri barf hatheli rakhna .. !

Tum yadon kay roshan jugnoo

Apni mutthi main bhar lena

Main bhi aanchal kay pehloo main

Ujli yadain rakh laoon gee

Is dauraan hi khwab ki devi

Hum donon say haath chura ker

Such ki bheer main kho jaye gee..!

Chahay such kitna karwa ho

Dukh ko maat to ho jaye gee..!

Phir tum neend nagar ko jana

Main khwabon main reh jaoon gee

Ik shab aankh kinaray

Neend say pehlay aao

Khwab-e-safar per saath chalain gay!


Author: Last Island
•3:42 AM


Shab-e-hijraan ki aziyyat ki khabar kis ko hai
Meir gumnaam muhabbat ki khabar kis ko hai

Kis ko ehsas meri shedat-e-jazbaat ka hai
Meri halat meri wehshat ki khabar kis ko hai

Kon weraan makanon ki khabar rakhta hai
Meri ujri hoi halat ki khabar kis ko hai

Main nay chup chap muhabbat kay sitam jhailay hain
Meri iss darja sharaafat ki khabar kis ko hai

Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hai.....!


Author: Last Island
•3:40 AM


Taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal
Saaz-e-wafa pe koi ghazal khwaan hai aaj kal

Markaz bana hua hoon kisi ki nigaah ka
Mujh par gham-e-hayat bhi aasan hai aaj kal

Phir hain junoon nawaaz nigahon ki shokhiyan
Maa'il ba'naaz deeda-e-janaan hai aaj kal

Daanista phir kisi ki tawajjo hai is taraf
Barbadiyon ka phir koi samaan hai aaj kal

Tajdeed-e-wada haa-e-wafa chaahata hoon main
Phir shamma-e-ishq dil main farozaan hai aaj kal

Wo meri kaiynaat-e-mohabbat se kya gaye
Dunyaa-e-aarzu meri weeraan hai aaj kal

Wajid kisi se phir hai umeed-e-wafa mujhe
Phir aarzu-e-khwaab pareshaan hai aaj kal



Author: Last Island
•3:31 AM


Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna

Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna

Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna

Ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna

Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai
Khad-o-khaal-e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna