Author: Last Island
•5:40 AM
Yeh noor kesa hai
Raakh ka sa rang pehnay
Barf ki laash hai
Laavay ka sa badan pehnay
Gungi chahat hai
Rusvaai ka kafan pehnay
Her ik qatra muqaddas hai mailay aansu ka
Ik hujoom-e-apaahaj hai aab-e-kausar per
Yeh kesa shor hai jo be-awaz phaila hai
Rupehli chaaon main, badnamiyon ka deraa hai
Yeh kesi jannat hai jo chaunk chaunk jati hai
Ek intezar-e-mujassam ka naam – khamoshi
Aur ehsas-e-bekaraan pe ye sarhad kesi?
Dar-e-deevar kahan ruh ki aavargi kay
Noor ki vaadi talak lams ka ik safar-e-taveel
Her ik mor per bas do hi naam miltay hain
Maut keh lo jo mohabbat nahin kehnay paao
Author: Last Island
•5:28 AM
Us nay meray seenay per sar
Rakh ker poocha
Janan ! apnay jeewan ka woh
Lamha to batao mujh ko
Jis kay badlay mil saktay hon sabhi sitaray
Dariyaon kay saray moti
Sawan ki pehli barish kay saray qatray
Ujlay chand ki sari kirnain
Dharti kay seenay say lipay sabhi khazanay
Saray mausan, sabhi dua’ain
Phoolon ki rangeen qaba’ain
Patti patti pernay wali bheegi shabnam
Main nay kaha Ism-e-Azam
Us nay meray seenay per sar rakh ker poocha
Janan ! apnay jeewan ka wo lamha to batao mujh ko
Jis kay badlay sab kuch apna, sab kuch, day saktay ho
Main nay us ka maatha chooma aur bola
"Jab pehli baar meray seenay per tum nay apna sir rakha tha"