twitter

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo

Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo


Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa

Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo


Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki

Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo


Nahin koi muhabbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi

To yeh dharka sa kya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo


Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab

Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo


Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do

Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo


Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi

Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo


Sunday, March 8, 2009 | 2 comments | Labels:

2 comments:

  1. Intellectual Solitude
    June 17, 2009 at 10:54 AM

    AAJA K ABHEE ZABT KA MOSAM NAHEE GUZRA..
    AAJA K PAHADOON PE ABHEE BURF JAMMI HAI....

    KHUSHBO K JAZEROON SE SITAROON KEE HADOON TAK...
    ISS SHAHER MAIN SAB KUCH HAI..BAS IK TAIRI KAMI HAI...

  1. Anonymous
    April 22, 2011 at 1:15 AM

    very nice. keep it up