Author: Last Island
•8:44 AM

Itnay chup kyun ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho
Dard say choor huay ho keh qarar aaya hai
Bhar gaya hijr ka her zakhm keh jee haar chalay
Bujh gaya shoq keh peghaam-e-nigar aaya hai
Na muradi ki thakan hai keh khumar-e-shab-e-wasl
Jaan sulagti hai keh chehron peh nikhar aaya hai

Kitni ujri hui rut hai keh sukoon hai na junoon
Itni bay-faiz hui baad-e-bahari kesay
Na kaheen noha-e-jaan hai na kaheen naghma-e-dil
Kuch to bolo keh shab-e-dard guzari kesay
Sar-ba-zaanoo ho to kyun chaak girebaan walo
Baazi-e-raah-e-talab jeet kay hari kesay

Author: Last Island
•8:41 AM

Chota Sa Ak Gaoon Tha Jis Main
Diyay Thay Kam Or Bohat Andhera
Bohat Shajer Thay Thoray Ghar Thay
Jin Ko Tha Doori Nay Ghera
Itne Bari Tanhaee Thi Jis Main
Jagta Rahta Tha Dil Mera
Bohat Qadeem Faraq Tha Jis Main
Ak Muqarar Hadd Say Aagay
Soch Na Sakta Tha Dil Mera
Ease Sourat Main Pher Dil Ko
Dheyaan Aata Kis Khowab Main Tera
Raaz Jo Hadd Say Baher Main Tha
Apna Aap Dekhata Kesay
Sapnay Ke Bhi Hadd Thi Aakher
Sapna Aagay Jata Kesay

Author: Last Island
•8:39 AM

Chalo phir aisa kertay hain
Zara tafheem kertay hain
Bnaam-e-adl-e-aadam rizq hum taqseem kertay hain
To tum saari hukoomat, shan-o-shaukat, tumkanat lay lo
Faza-e-behr-o-bur kay sub umoor-e-saltanat lay lo
Adaalat-e-husn-o-daulat, ikhtiyar-e-bay karan lay lo
Sipah-e-derbar-e-ishrat, iqtidaar-e-do jahan lay lo
Mujhay kuch herf day do, lafz day do
Aik qalam day do,
Zamaanay bhar ka gham day do,
Mujhay aik chashm-e-num day do,
Mujhay kuch khwab day do
Sungrazay, tulkhiyan day do
Dil-e-afsurda, khali ghar, qafas ki teeliyan day do
Magar do din ka qissa hai kamal-e-tamkanat janan
Saheefon ki riwayat hai zawal-e-saltanat janan
Aah!
Aik waqt aaye ga bhari dopeher main janan
Akailay tum kharay ho gay akailay sheher main janan
Meri jaan!
Aisay mausam main meray alfaaz bolain gay
Meray alfaaz kay jadoo dar-e-herut ko kholain gay
Main likhoon ga wo naghmay jo kabhi sochay nahin tum nay
Abhi kuch baal-o-par baqi hain jo nochay nahin tum nay
Meri nazmain jamal-e-mausam-e-jaan ko nikharain gi
Meri ghazalain tumharay husn ki zulfain sanwarain gi
Tumhain main husn doon ga
Aitabar-e-baykaran doon ga
Waqar-e-husn doon ga
Ikhtiyar-e-jism-jaan doon ga
Faza-e-naghma-o-gul main tumhain main zinda rakhoon ga
Hisaar-e-sheher-e-jaan main, tumhain main painda rakhoon ga
To janan aisa kertay hain
Zara tafheem kertay hain
Bnaam-e-adl-e-aadam rizq hum taqseem kertay hain

Author: Last Island
•8:37 AM

Insha jee bohat deen beet chukay
Tum tanha thay, tum tanha ho
Yeh jog bajog to theek nahi
Yeh rog kisi ka acha ho ?
Kabhi poorab mein, kabhi pacham mein
Tum purwa ho, tum pachwa hoo?
Jo nagri nagri bhatkaye
Aya bhi na mun mein kanta ho
Kya aur sabhi choonchal yahaan ?
Kya aik tumhee yahaan dukhiya ho
Kya aik tumhee par dhoop karee
Jab sab par sukh ka saya hoo

Tum kiss jungal kay phool miyaan
Tum kis bagiyaa ka bayla ho ?
Tum kis sagar ke lehar bhala
Tum kis badal kay barkha ho ?
Tum kis ponam ka ujayaara
Kis andhee rain ke oosha hoo
Tum kin hathoon ke mehandi ho
Tum kis mathay ka teeka ho
Kiyon shehar taja, kiyon jog liya
Kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho
Hum jab daikhain behroop naya
Hum kaya jannain tum kaya kaya ho ?

Jab soraj doobay sanjh bhaye
Aur phail raha andhayara ho
Kisi saaz ke lay par jhan'an jhan'an
Kisi geet ka mukhra jaga hoo
Is taal pay nachain pairoon mein
Aik chup chup behtee nadiya hoo
Ho charoon koot sughandh basee
Jeevan jangal pehna gajra hoo
Yeah ambar kay mukh ka anchal ho
Iss anchal ka rung ooda ho
Ik goot ro'pehlay taroon kee
Aur beech sunehra chanda hoo
Iss sundar sheetal shaant samay
Haan bolo bolo phir kaya ho ?
Woh jis ka milna na mumkin
Woh mil jaye tu kaisa hoo ?
Kyon aisay sapnay daikhtay hoo
Insha jee tum aap bhi sapna ho
Ik beetain likhtay shayar hoo
Ik geet ugalte beena hoo
yeah battain mein mein woh sochay
jo kaya batlyain kaisa ho ?
woh jiss kay hat mei kismat kee
Aik lambee gehree raikha hoo
Woh shakhas puranay qisoon kaa
Ik mud'mata shehzada hoo
Jo shehar ka rasta bhoola ho
Aur jungal mein aa nikla hoo
Woh raja kaashi nagree ka
Woh wali'e bulkh o bukhara ho
Kuch uss kay taj pay kalghee ho
Kuch uss ka chand sa chehra ho
Woh malik mehal ataariyoon ka
Woh roppay soonay walla hoo
Ya koye anookha gunn walla
Woh jiss ka jug mein charcha ho
Ya koyee sajeela banjara
Jo nagri nagri ghooma hoo

Hum nugri nugri ghoomay tu
Jab niklay thay awara hoo
Woh landon ho, woh paris ho
Woh barlun ho, woh roma ho
Woh kabul ho, woh lanka ho
Woh sahil seen o rayan ho
Ya sahit e neel o dajla ho
Woh jeen ka daish washaal kaheen
Ya pucham dais amrica ho
Woh cohati fuji yama kee
Ya ulpus ka barpad ooncha ho
Woh chattain gulabi laydan ke
Ya neela aab janeva ho
Din astanbool ke galiyoon mein
Ya sab ke sair praha hoo
Kuch sourattain theen, kuch mortain theen
Kuch aur bhi shaid daikha ho
Jahaan nazrain thereen theetki hoon
Jahaan dil ka kanta atka hoo
Par hum ko tu kuch yaad nahi
Kuch khoya ho, kuch paya ho
In batoon mein, in ghatoon mein
Sajoog ka koye lamha ho
Hum apnay jo khud aap nahi
Phir bolo kyun humara hoo
Youn samjhoo shehar saraye mein
Shab bhar kay liye koi utra ho
Koi pardaisi, koi saylaani
Woh jis ka door thikana ho
Shaam aye sawairay koch kiya
Jab dhundhla dhundla rasta ho
Jab dhartee sooni sooni hoo
Jab anbar pheeka pheeka hoo

Aik alam tha, kaya alam tha
Woh sacha hoo, ya jhoota hoo
Hum apnay aap mein doob gaye
Khud pathar ban, khud darya hoo
Jeevan ghaas ka tinka jungle
Jeevan andhi mein koye pata ho
Hum kis say kahain, kis toor kahain
Koi baat humaree samjha hoo!
Hum uss say millain jo apna hoo
Hum uss say kahain jo hum sa ho

Jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi
Kaya baat banay, kaya rasta hoo
Iss zindaan mein koye rozan ho
Iss gunbad mein darwaza ho
Aye jogi, aye darwaish qavi
Kyon umaar ganwaye ramta ho
Kiyn tun pay rakh bhaboot mallay
Tu gorakh naat ka cheela hoo
Ya porab pucham kuch bhi nahi
Yeah joog bajoog bhi dhooka hoo
Jo tujh say juda sab maya hai
Ya apnay ko gar pana hoo
Kiyon aur pay jee ko rujhata hai
Yeah peet ke reet tu phanda ho
Jo hara jaan say haar gaya
Jo jeeta woh bhi ruswa ho
Dhooni na rama, basram na kar
Bus alakh jaga kar chalta ho
Tu apna reh, tu apna ban
Tu Insha hai, tu Insha ho