Meray dushmano say kaho koi Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai Keh shikast yun bhi qabool hai Kabhi hoslay jo missal thay, woh nahin rahay
Meray harf harf kay jism per Jo ma’ani kay par-o-baal thay, woh nahin rahay Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajaye phirtay khayal thay Woh nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi Woh jo shaam sher-e-wisaal main Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay Woh nahin rahay
Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay, wo nahin rahay Meray dushmanon say kaho koi Woh kabhi jo ehd-e-nishat main Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia Woh jo fatehana khumar main Meray saray kha’b nihaal thay Woh nahin rahay
Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main Meray sur-khuroo mah-o-saal thay, wo nahin rahay Keh bus ab to dil ki zuban per Faqat aik qissa-e-haal hai ……… jo Nidhaal hai Jo gaye dinon ka malaal hai Meray dushmanon say kaho koi
Mujhey Fursat Hii Fursat Hai
Saweray Jaldii Utna Hai
Na Shab Ko Dair Sey Sona
Kahien Bahir Nahi Jana
Kisi Say Bhi Nahi Milna
Na Koii Fiker La-Haq Hai
Na Koii Yaad Hai Baaqi
Suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood aai hey
merey qasid…suno..janay say pehlay itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam-e-aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay sajaye thay
kisi ki aankh ke aansu…kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar lutaye thay
bohat narmi say us peepal ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN saagar nahiN rotay
muqaddar jinka sota hai….kabhi phir woh nahiN sotay
usay kehna mere qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN basar kar di
woh aakhir pal tumharay pas aa kar..kuch na keh paye
lipat kar tum say ro laiN gay..agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…aik chokhat hey
wuhi chokhat hey yeh piyaray…
jahaN sajday kiye hum ney…jahaN par zindagi haari
jahaN kuch pal jiye hum ney….jahaN par jaan yeh waari
jawaaN margi pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi
wahaN bajti chaharoN su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki thakawat ho
magar…us dil nasheeN chehray pe..gehri muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil mera thehra..!
meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh kaam kar daina
usay ji bhar ke takna tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne haari hey….
nahiN tum ho sakay uske….woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna
Jo us kii yaad aatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Muhabbat ab satatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Tum un logon say hut kar bhi to zinda reh nahi saktay
Yeh duniya dil dukhaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Barastay hain jo badal to utar jata hai bojh un ka
Tumhien khwahish rulaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Wohii chashm e tasawar hai wohii hai dil ki halet bhii
Wo soorat hashr uthaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Kaha tha kis nay rakho tum sunehray khwaab aankhon mein
Aseer e neend urtii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Usii say miltii jultii hain adaaien sab balaaon kii
Hawa pagal banatii hai to kyon mehsoos kartay ho ? Jisay tum chand kehtay thay wohi hai aankh mein roshan
Agar shab jagmagatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Merey bas main ho to kabhi kahin
Koi sheher aisa basaoon main
Jahan fakhtaaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main
Jhunjhunati saanson ki jhaanjharain jo chanak uthain
To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak
Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney
Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak
Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak
Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho
Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak
Jahan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho
Jahan sach ko sach sey ho wasta
Jahan jugnuon ko hava dikhati ho raasta
Jahan khushbuon sey badalti rut ko hassad na ho
Jahan pastiyon sey bulandiyon ko bhi qud na ho
Jahan khuaab aankhon main jagmagain to....
Jism-o-jaan k sabhi dareechon main teergi ka guzar na ho
Koi raat aisi basar na ho keh, bashar ko apni khabar na ho
Jahan daagh daagh seher na ho
Jahan kashtiyan hon rawan dawan_to samandaron main bhanwar na ho
Jahan barg-o-baar sey ajnabi_koi shaakh, koi shajar na ho
Jahan chehchahatey huey parindon ko_barishon k azzab ka koi darr na ho
Merey bass main ho to kabhi kahin_koi sheher aisa basaoon main
Jahan barf barf mohabbaton pai_gham-e-jaan ka asar na ho
Rah-o-rasm-e-dunia ki bandishain_gham-e-zaat k sabhi zaaiqey
Sum-e-kaainat ki talkhiyan_kisi aankh ko bhi na choo sakain
Jahan mairi saans ki tazgi,tairi chahaton k kanwal main ho
Taira husn mairi ghazal main ho,jahan kaainat ki ik sadaf
Shab-o-roz k kisi pall main ho
Jahan noha-e-gham-e-zindagi,mairi hichkiyon sey ayyan na ho
Jahan loh-e-khaak pai ummr bha,kisi be gunnah k khoon ka
Koi daagh, koi nishaan na ho
Koi sheher aisa kabhi,,,,...kahin! jahan dhoop chaon galey milain
Jahan baanjh rut main bhi gull khilain
Jahan chahaton k hujoom main, kabhi geet aman k gaoon main
Jahan zindagi ka rijz parhoon, jahan be khulul gungunaoon main!
Jahan moj moj ki aut main tu kiran baney, muskuraoon main
Mairey bas main ho to kabhi kahin
Koi sheher aisa bassaoon main
Woh Janti Thi
Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi
Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
Jehan Serab Si Khushyan Hain
Aur Azaab Say Ghum
Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
Woh Janti Thi
Muhabat Khiraj Mangti Hay
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho
Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay
Woh Janti Thi
Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan
Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar
Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per
Tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi
Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota
Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan
Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota
Woh Janti Thi
Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi
Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi
Woh Janti Thi Magr Phir Bhi
Us Nay Aashufta Mizaji Ko Naya Morr Dia Mujh Ko Pa-Ba-Zanjeer Kia Or Chorr Dia Us Nay Aanchal Say Nikali Meray Gum-Gushta Kitaab Or Chupkay Say Mohabbat Ka Waraq Morr Dia Ham Ko Maloom Tha Anjaam -e- Mohabbat Ham Nay Aakhri Hurf Say Pehlay He Qalam Tor Dia
Kahoo ab kya khoon tum say Batao kya likhoon tum ko Mujhy umeed do koi Mujhy tamheed do koi Naya aik lafz ho koi Jahan say baat chal niklay Meri mushkil ka hal niklay Batao lehja kesa ho Keeh tum say baat karni hai Mujhay thora ujala do Basar aik raat karni hai Tum apni roshan aankhoon ko Agar kholo to main likhoon Tumharay lab say aay ga Sukhan main aik kateela pan Tumhari aankh day day gi Takhatub ko nasheela pan Kaho ab kya irada hai Mujhy izhar karna hai Keh betabi ziyada hai Kaho ab kya khaoon tum say Batao kya likhoon tum ko
Tere intezar mein raat bhar hum shamma kay sath jalay bhi hain
Chaand kay sath jagay bhi aur suraj kay sath dhaley bhi hain Hamare safar mein hamare sath bas diljali si fiza nahi
Kuch tishngi ki sa'atien kuch udasion kay lamhe bhi hain
Hamien rozgar e hayat nay kai majboorion mein jakar diya
So yeh wajud to apni jaga sahi par zindgi se gilay bhi hain
Hamien dey kay hosh e aaghi yun sapurd e aazab kiya keh hum
Faqat phool ban kar khilley nahi charagh ban kar jalay bhi hain
Dua'ien bhi ki bohat magar tujhe dhundne kay wastey
Sang chak e girebaan kiye hum khar khar chale bhi hain
Hamien qismatoun ki kitab kay har baab sey hain shikayatien
Ham ney to suna tha in mein sab bure nahi kuch bhale bhi hain
Is dasht e junun key haath sey bachaye rakhey sabhi ko RAB!
Wo azaab jo tu ney faqat suney wo azaab hum ko milay bhi hain
Chandani raat kay hathon pe sawar utari hai
Koi khushboo meri dehleez kay paar utri hai
Is mai kuch rang bi hai khawab bhi mehkar bhi hai Jhilmilaati hovi khawahish bhi hai inkar bhi hai
Isi khushboo main kai dard bhi afsaanay bhi
Isi khushboo nay banaye kai dewanay bhi
Mairay anchal pay umidoon ki qataar utri hai
Koi khushbo meri dehleez kay paar utri hai
Isi khushboo se kisi yaad kay dar khultay hain
Mairay pairoon say jo liptay to safar khultay hain
Yehi khushboo jo mujhay ghar se utha laai thi
Ab kisi taur palat kar nahi janay daiti
Meri dehleez bulaati hai mujhay laut aao
Yehi khushboo mujhay wapis nahi aanay daiti
Runj or dard mai doobi yeh bahaar utri hai
Koi khushboo meri dehleez ke paar utri hai
Chandani raat kay hathon pe sawar utari hai
Koi khushboo meri dehleez kay paar utri hai
Samandar ke kinarey sahilon ki rait kay ander
Hamarey kitney hi anmol khawabon kay khazaney hain
Dafeenay hain, fasanay hain
Hawa chalti hai jub chho ker
Hamarey dil ke zakhmon ko
Kharabey rooh ke aabad ho jaatey hain yaadon say
Gaye waqton ki baaton say
Kahan ho tum?
Kahin bhooley say aa niklo
Ager aaney per kadghan hai
Tu bas itna hi kar dalo
Hawa ke dosh pe bay hurf sargoshi
Koi bay lafz sandesa hi kar dalo
Jeenay ke wastey itna hi kafi hai
Hamein jeena tu hai aur umar baki hai
Woh aawazein hi sun lain gay jo koi lub nahi kehtey
Aur aaisey khawaab bun lain gay, kabhi jo saach nahi hotey
Bas aaisey hi bahanon mein yeh jeevan paar kar lain gay
Tumharey naam kar dain gay.
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Keh ju-e-wafa kay thay jo merhalay
Sang-e-aastaan thaa jo ghuroor ka
Woh jo paabajola-e-rasm thi
Ussay kis zakham nay dubo diya
Dil-e-daaghdaar nay wisaal-e-yaar mai
Guzaaray hain jo rattjagay woh kis
Kis muqaam mai jaa basay
Kabhi zard rutton say bhi poochna
Keh patton kay chatakhnay say jo siskiyaan si goonjti theen
Woh kab, kahaan, kis pal, hijr say jaa mileen Woh jo aas ki pazmurda si shaakh thi
Woh kis nokeelay khuwaab kay baar say jaa jhuki
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Kay hawaa-e-dasht ki sarsaraahat
Mai kaifiyyat-e-bahaar thi, woh kis pal
Dasht-e-sansanaahat mai dhal gaee
Woh jawaar-e-manzil say jo lurrhaktay
Sisaktay musaafir thay aakhir woh kis
Panaah-gaah mai jaa chuppay
Woh jo fasl-e-gul ki mehdood-o-masdood si kalyaan theen
Woh kis khizaan mai badal gaeen
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Keh intezaar kay Dastay naag ka taryaaq hay kiya?
Neend say bojhal band aankhon mai dard ki chubbhan si hay kiya?
Aur kabhi fursat milay to khud say bhi poochna
Keh muhabbat aur nafrat kay maabain muslehat
Ki chaader hay kiya?
Haan kabhi zard ruton ki ot mai khud say bhi poochna
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Mujhay is jism kay sartaan say bahir nikalna hay
Abhi mujh ko teri pehchan say bahir nikalna hay
Main apnay aap main thehra hua aisa parinda hoon
Jisay is zaat kay dalaan say bahir nikalna hay
Ana ki aag main jalnay laga hay dil mera peham
Mujhay shayed teray ahsaan say bahir nikalna hay
Mujhay is zindagi say khof sa aanay laga hay phir
Mujhay is akhri behraan say bahir nikalna hay
Mujhay dar hay kay meri rooh ki na mout ho jaye
Mujhay apnay hi is insaan say bahir nikalna hay
Main surj lay kay aisa ratjagay kay beech aa betha
Jahan raton ko ik unvaan say bahir nikalna hay
Kai bikhri hui yaadain, kai vaaday, kai baatain
Yahi kuch to meray samaan say bahir nikalna hay
Main us kay pyar kay is khail ka aisa khilari hoon
Jisay her jeet kay imkaan say bahir nikalna hay