twitter

Meray dushmano say kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai
Keh shikast yun bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo missal thay, woh nahin rahay

Meray harf harf kay jism per
Jo ma’ani kay par-o-baal thay, woh nahin rahay
Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajaye phirtay khayal thay
Woh nahin rahay

Meray dushmanon say kaho koi
Woh jo shaam sher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay
Woh nahin rahay

Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay, wo nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishat main
Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia
Woh jo fatehana khumar main
Meray saray kha’b nihaal thay
Woh nahin rahay

Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main
Meray sur-khuroo mah-o-saal thay, wo nahin rahay
Keh bus ab to dil ki zuban per
Faqat aik qissa-e-haal hai ………
jo Nidhaal hai
Jo gaye dinon ka malaal hai
Meray dushmanon say kaho koi
Wednesday, July 30, 2008 | 0 comments | Labels:

Kahoon kis se qissa-e-dard-o-gham, koi ham nasheen hai na yar hai
Jo anees hai teri yaad hai, jo shafeeq hai dil-zaar hai

Tu hazar kerta lagawatain, main kabhi na aata faraib main
Mujhe pehlay is ki khabar na thi, tera do hi din ka yeh pyar hai

Yeh naveed auron ko ja suna, hum aseer-e-daam hain aye saba
Hamain kia chaman hai jo rung per, hamain kia jo fasl-e-bahar hai

Mujhay raham aata hai dekh ker, tera haal akbar-e-nauha gar
Tujhe wo bhi chahay khuda karay, keh tu jis ka aashiq-e-zaar hai

Wednesday, July 16, 2008 | 0 comments | Labels:

Mujhey Fursat Hii Fursat Hai
Saweray Jaldii Utna Hai
Na Shab Ko Dair Sey Sona
Kahien Bahir Nahi Jana
Kisi Say Bhi Nahi Milna
Na Koii Fiker La-Haq Hai
Na Koii Yaad Hai Baaqi


Magar
Yeh Aakhri Misra
Zara Sa Jhoot Lagta Hai

| 0 comments | Labels:

Meri raat din mein chupi huee mera din chuppa kisi raat mein
Meri zindagee koee raaz hai koee raaz hai meri zaat mein

Koee mutmain bhe nahin hua' koee ho bhe jaye to iss mein kya
Main bhe aapne saath ulajh para ' rah e kar zar e hayat mein

Main Jahan kahin bhi bhatak gaya waheen girte girte sambhal gaya
Mujhe thokoroan se pata chula mera hath hai kisi hath mein

Mere dushmanoan, mujhe dukh na do, mujhe mere haal pe choar do
Mujhe perh raha hai yeh shehar to koee baat hai meri baat mein

Mein muhabatoan ka payambar, jo hai nafratoan mein ghira hua
Kiya waqt ne mujhe dar ba dar main palat sakun jo hayaat mein

Yeh samatoan pe jo shor hai, yeh hawa e waqt ka zoar hai
Yaa mere hi dil ka ye choar hai, jo chupa hai meri ghaat mein

| 0 comments | Labels:

Suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood aai hey
merey qasid…suno..janay say pehlay itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam-e-aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay sajaye thay
kisi ki aankh ke aansu…kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar lutaye thay
bohat narmi say us peepal ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN saagar nahiN rotay
muqaddar jinka sota hai….kabhi phir woh nahiN sotay
usay kehna mere qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN basar kar di
woh aakhir pal tumharay pas aa kar..kuch na keh paye
lipat kar tum say ro laiN gay..agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…aik chokhat hey
wuhi chokhat hey yeh piyaray…
jahaN sajday kiye hum ney…jahaN par zindagi haari
jahaN kuch pal jiye hum ney….jahaN par jaan yeh waari
jawaaN margi pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi
wahaN bajti chaharoN su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki thakawat ho
magar…us dil nasheeN chehray pe..gehri muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil mera thehra..!
meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh kaam kar daina
usay ji bhar ke takna tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne haari hey….
nahiN tum ho sakay uske….woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna

| 0 comments | Labels:

Dilo’n Ko Chhaid Ker Rakh Dain Jo, Un Lafzon Se Khaa’if Hoon
Kisi Masoom Per Banti Hui Baton Se Khaa’if Hoon

Wo Jin Ki Aanch Se Dil Ke Kanwal Murjha Ke Reh Jayen
Main Aisay Garm, Jhulsaye Huay Lehjon Se Khaa’if Hoon

Kisi Ko Zaat Se Meri Koi Takleef Na Pohnchay
Mujhe Pyaray Hain Jo Main Unn Sabhi Rishto’n Se Khaa’if Hoon

Unhain Her Aik Se Her Pal, Gilay Shikway He Rehtay Hain
Anaa Ki Jaal Maion Jakray Huay Logon Se Khaa’if Hoon

Kuduurat Dil Main Hai To Phir Kisi Pal Waar Ker Dain Ge
Naqaab-E-Dosti Daalay Huay Chehro’n Se Khaa’if Hoon

Ye Maana Mainay Jazba’haye Dil Anmol Hotay Hain
Magar Bay’mol Jo Ker Dain Main Unn Jazbo’n Se Khaa’if Hoon

Bikher Jaye Koi To Phir Samaita Jaa Nahi Sakta
Mujhe Jo Muntashir Ker Dain Unhi Socho’n Se Khaa’if Hoon

Zamanay Bhar Main Meray Dard Ki Tash’heer Ker Dain Gay
Main Gham’khuaro’n Se, Hamdardi Se, Hamraazo’n Se Khaa’if Hoon

Mujhe Bay’dast-O-Paa Ker Ke Kaheen Aagay Na Barh Jayen
Main Apni Zindagi Ke Bhagtay Lamhon Se Khaa’if Hoon

Mujhe Bay’chargi Se Bay’basi Se Khauf Aata Hai
Saharay Ke Leay Phailay Huay Haathon Se Khaa’if Hoon

Jo Hasrat Main Badal Ker Zindagi Ka Rog Ban Jayen
Main Aisi Khuahisho’n Aise Tamana’on Se Khaa’if Hoon

Ye Panjay Gaar Dain Jis Jaa, Wahan Kuch Bhi Nahi Rehta
Main Apne Chaar’soo Phailee Hui Rasmo’n Se Khaa’if Hoon

Kaheen Paas-E-Murawwat Hai Kaheen Ehsas-E-Ghairat Hai
Kabhi Apno’n Se Khaa’if Hoon, Kabhi Ghero’n Se Khaa’if Hoon

Ye Deemak Ki Tarha Se Aadmi Ko Chaat Jatay Hain
Amaawas, Khauf, Darr Aur Andesho’n Se Khaa’if Hoon

Jahan Na Chain Din Ko Ho Na Raatain Pur’sukoon Guzrain
Sabhi Aisay Makaano’n Aur Shabistaano’n Se Khaa’if Hoon

Khuda Haami Hai Apna, Ye Yaqeen To Hai Magar Phir Bhi
Daroo’n Khaana Main Jo Paltay Hain Jo Unn Fitno’n Se Khaa’if Hoon

Nazar Her Gaam Dilkash Manaazir Se Ulajhti Hai
Jo Manzil Se He Bhatka Dain Main Unn Raho’n Se Khaa’if Hoon

| 0 comments | Labels:

Jo us kii yaad aatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Muhabbat ab satatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?


Tum un logon say hut kar bhi to zinda reh nahi saktay
Yeh duniya dil dukhaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?


Barastay hain jo badal to utar jata hai bojh un ka
Tumhien khwahish rulaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?


Wohii chashm e tasawar hai wohii hai dil ki halet bhii
Wo soorat hashr uthaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?


Kaha tha kis nay rakho tum sunehray khwaab aankhon mein
Aseer e neend urtii hai to kyon mehsoos kartay ho ?


Usii say miltii jultii hain adaaien sab balaaon kii
Hawa pagal banatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?


Jisay tum chand kehtay thay wohi hai aankh mein roshan
Agar shab jagmagatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?

Tuesday, July 15, 2008 | 0 comments | Labels:

Merey bas main ho to kabhi kahin
Koi sheher aisa basaoon main
Jahan fakhtaaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main
Jhunjhunati saanson ki jhaanjharain jo chanak uthain
To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak
Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney
Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak
Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak
Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho
Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak
Jahan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho
Jahan sach ko sach sey ho wasta
Jahan jugnuon ko hava dikhati ho raasta
Jahan khushbuon sey badalti rut ko hassad na ho
Jahan pastiyon sey bulandiyon ko bhi qud na ho
Jahan khuaab aankhon main jagmagain to....
Jism-o-jaan k sabhi dareechon main teergi ka guzar na ho
Koi raat aisi basar na ho keh, bashar ko apni khabar na ho
Jahan daagh daagh seher na ho
Jahan kashtiyan hon rawan dawan_to samandaron main bhanwar na ho
Jahan barg-o-baar sey ajnabi_koi shaakh, koi shajar na ho
Jahan chehchahatey huey parindon ko_barishon k azzab ka koi darr na ho
Merey bass main ho to kabhi kahin_koi sheher aisa basaoon main
Jahan barf barf mohabbaton pai_gham-e-jaan ka asar na ho
Rah-o-rasm-e-dunia ki bandishain_gham-e-zaat k sabhi zaaiqey
Sum-e-kaainat ki talkhiyan_kisi aankh ko bhi na choo sakain
Jahan mairi saans ki tazgi,tairi chahaton k kanwal main ho
Taira husn mairi ghazal main ho,jahan kaainat ki ik sadaf
Shab-o-roz k kisi pall main ho
Jahan noha-e-gham-e-zindagi,mairi hichkiyon sey ayyan na ho
Jahan loh-e-khaak pai ummr bha,kisi be gunnah k khoon ka
Koi daagh, koi nishaan na ho
Koi sheher aisa kabhi,,,,...kahin! jahan dhoop chaon galey milain
Jahan baanjh rut main bhi gull khilain
Jahan chahaton k hujoom main, kabhi geet aman k gaoon main
Jahan zindagi ka rijz parhoon, jahan be khulul gungunaoon main!
Jahan moj moj ki aut main tu kiran baney, muskuraoon main
Mairey bas main ho to kabhi kahin
Koi sheher aisa bassaoon main

| 0 comments | Labels:

Woh Janti Thi
Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi
Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
Jehan Serab Si Khushyan Hain
Aur Azaab Say Ghum
Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
Woh Janti Thi
Muhabat Khiraj Mangti Hay
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho
Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay
Woh Janti Thi
Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan
Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar
Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per
Tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi
Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota
Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan
Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota
Woh Janti Thi
Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi
Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi
Woh Janti Thi Magr Phir Bhi

| 0 comments | Labels:

Us Nay Aashufta Mizaji Ko Naya Morr Dia
Mujh Ko Pa-Ba-Zanjeer Kia Or Chorr Dia
Us Nay Aanchal Say Nikali Meray Gum-Gushta Kitaab
Or Chupkay Say Mohabbat Ka Waraq Morr Dia
Ham Ko Maloom Tha Anjaam -e- Mohabbat Ham Nay
Aakhri Hurf Say Pehlay He Qalam Tor Dia

| 0 comments | Labels:

Kahoo ab kya khoon tum say
Batao kya likhoon tum ko
Mujhy umeed do koi
Mujhy tamheed do koi
Naya aik lafz ho koi
Jahan say baat chal niklay
Meri mushkil ka hal niklay
Batao lehja kesa ho
Keeh tum say baat karni hai
Mujhay thora ujala do
Basar aik raat karni hai
Tum apni roshan aankhoon ko
Agar kholo to main likhoon
Tumharay lab say aay ga
Sukhan main aik kateela pan
Tumhari aankh day day gi
Takhatub ko nasheela pan
Kaho ab kya irada hai
Mujhy izhar karna hai
Keh betabi ziyada hai
Kaho ab kya khaoon tum say
Batao kya likhoon tum ko

| 0 comments | Labels:

Tanha jis ko choor aaya hon janay wo kya karti hogi
Chup chup k wo roti hogi aur bhala kya karti hogi

Phalay pahl tu yaad nai uss ko aa kay khub sataya hoga
Neend na uss ko aati hogi aur bhala kya karti hogi

Dil kee baat kary wo kis say, kis ko haal sunati hogi
Gum-sum gum-sum bhaithe hogi aur bhala kya karti hogi

Zulfain uss ke bikhri hongi chahra b murjhaya hoga
Thandi aahain bharti hogi aur bhala kya karti hogi

Mushkil hoga uss ka jeena, bholi hogi khana peena
Aas kee maala bunti hogi aur bhala kya karti hogi

Khat jo maira aaya hoga dil sai ussay lagaya hoga
Sab sai chup k parhati hogi aur bhala kya karti hogi

Jaldi lout k aayon ga wada yehi kya tha mainay
Rah woh maire takti hogi aur bhala kya karti hogi

Hoti hain jab chandni raatein karta hon mai chand sai baatain
Kya nafees wo sunti hogi aur bhala kya karti hogi

| 0 comments | Labels:

Tere intezar mein raat bhar hum shamma kay sath jalay bhi hain
Chaand kay sath jagay bhi aur suraj kay sath dhaley bhi hain


Hamare safar mein hamare sath bas diljali si fiza nahi
Kuch tishngi ki sa'atien kuch udasion kay lamhe bhi hain

Hamien rozgar e hayat nay kai majboorion mein jakar diya
So yeh wajud to apni jaga sahi par zindgi se gilay bhi hain

Hamien dey kay hosh e aaghi yun sapurd e aazab kiya keh hum
Faqat phool ban kar khilley nahi charagh ban kar jalay bhi hain

Dua'ien bhi ki bohat magar tujhe dhundne kay wastey
Sang chak e girebaan kiye hum khar khar chale bhi hain

Hamien qismatoun ki kitab kay har baab sey hain shikayatien
Ham ney to suna tha in mein sab bure nahi kuch bhale bhi hain

Is dasht e junun key haath sey bachaye rakhey sabhi ko RAB!
Wo azaab jo tu ney faqat suney wo azaab hum ko milay bhi hain

| 0 comments | Labels:

Ik shakhs jazeera razon ka aur hum sub us main rehtay hain
Ik ghar hai tanha yadon ka, aur hum sub us main rehtay hain

Ik aankh hai darya aankhon ka, her manzar us main doob gaya
Ik chehra sehra chehron ka aur hum sub us main rehtay hain

Ik khwab khazana neendon ka wo hum sub nay berbaad kia
Ik neend, kharaba khwabon ka, aur hum sub us main rehtay hain

Ik lamha laakh zamanon ka, wo maskan hai weeranon ka
Ik ehd bikhartay lamhon ka, aur hum sub us main rehtay hain

Ik mausam haray parindon ka wo sard hawa ka rizq hua
Ik gulshan khali peron ka aur hum sub us main rehtay hain

Ik rasta us kay shehron ka hum uski dhool main dhool huay
Ik sheher us ki umeedon ka aur hum sub us main rehtay hain

| 0 comments | Labels:

Chandani raat kay hathon pe sawar utari hai
Koi khushboo meri dehleez kay paar utri hai

Is mai kuch rang bi hai khawab bhi mehkar bhi hai

Jhilmilaati hovi khawahish bhi hai inkar bhi hai
Isi khushboo main kai dard bhi afsaanay bhi
Isi khushboo nay banaye kai dewanay bhi

Mairay anchal pay umidoon ki qataar utri hai
Koi khushbo meri dehleez kay paar utri hai

Isi khushboo se kisi yaad kay dar khultay hain
Mairay pairoon say jo liptay to safar khultay hain
Yehi khushboo jo mujhay ghar se utha laai thi
Ab kisi taur palat kar nahi janay daiti
Meri dehleez bulaati hai mujhay laut aao
Yehi khushboo mujhay wapis nahi aanay daiti

Runj or dard mai doobi yeh bahaar utri hai
Koi khushboo meri dehleez ke paar utri hai

Chandani raat kay hathon pe sawar utari hai
Koi khushboo meri dehleez kay paar utri hai

| 0 comments | Labels:

Ta'alluq toot jayega mera sarey zamaney se
Meray apney khafa honge tumhein apna bananey se

Tumharey saath rehnay se mujhay taskeen milti hai
Bohat takleef hoti hai tumharey door janey se

Meray ghar ko jala dena magar yeh zehan mein rakhna
Ujala mil nahin sakta kisi ka ghar jalaney se

Humari jaan jaye gi to phir jaan jao gey
Ke kuch hasil nahin hota kisi ko aazmaney se

Tumhara naam kaisey mita doon apni kahani se
Bohat gehra talluq hai tera meray fasaney se

Kabhi toofan, kabhi baarish, kabhi aandhi, kabhi sailaab
Sabhi ne dushmani karli humarey aashiyane se

| 0 comments | Labels:

Samandar ke kinarey sahilon ki rait kay ander
Hamarey kitney hi anmol khawabon kay khazaney hain
Dafeenay hain, fasanay hain
Hawa chalti hai jub chho ker
Hamarey dil ke zakhmon ko
Kharabey rooh ke aabad ho jaatey hain yaadon say
Gaye waqton ki baaton say
Kahan ho tum?
Kahin bhooley say aa niklo
Ager aaney per kadghan hai
Tu bas itna hi kar dalo
Hawa ke dosh pe bay hurf sargoshi
Koi bay lafz sandesa hi kar dalo
Jeenay ke wastey itna hi kafi hai
Hamein jeena tu hai aur umar baki hai
Woh aawazein hi sun lain gay jo koi lub nahi kehtey
Aur aaisey khawaab bun lain gay, kabhi jo saach nahi hotey
Bas aaisey hi bahanon mein yeh jeevan paar kar lain gay
Tumharey naam kar dain gay.

| 0 comments | Labels:

Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwabon Mein Sehra Hain, Mujhey Ab Mat Rulao Tum

Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat Arsey Say Jari Tha, Ussey Ab Mat Dohrao Tum

Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hatao Tum

Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Ab Mat Hansaao Tum

Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhsheen Thi, Usi Say Ghar Banao Tum

Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Ab Aaey Ho To Ruk Jana
Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum

| 0 comments | Labels:

Aasmaan sey inaayatain na tujhey mileen na mujhey mileen
Mohabbaton sey raahatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Hamein aashiqi mein sach mila hamein zindagi mein sab mila
Magar be’wafaai ki aadatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Udhar tu dua mein laga raha idhar mein dua mein laga raha
Par mannaton sey haajatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Thi aarzu kabhi saahilon pe terey saath saath hum chal sakein
Par samandaron sey ijazatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Jis zindagi ki khaahishon mein so rat’jagon mein sajood keeye
Us zindagi ki bashaaratein na tujhey mileen na mujhey mileen


Hasraton ke deeyon ko aag kabhi tu ney di kabhi mein ney di
Magar roshni ki alaamatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Na to terey dard rukey kaheen na merey zakhm bharey kabhi
Sabar-o-shukar ki haalatein na tujhey mileen na mujhey mileen

Teri manzilein kahein aur thein meri manzilein kahein aur thein
Kisi aek simt ki musafatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Tu thethar gaya kisi aur ke ghar mein ruk gaya kisi aur ke dar
Man-pasand si chaahatein na tujhey mileen na mujhey mileen


Hamaari pur’khaloos neeyaton sey manzilein kyun chin gaein!
Muqaddaron sey wazahatein na tujhey mileen na mujhey mileen

| 0 comments | Labels:

Na baab-e-harf-o-sada mai, na maah-o-saal mai tha
Jawaab jiss ka nahi tha, woh uss sawaal mai tha


Mai zindagi ki tarah uss ki baat baat mai thi
Woh roshni ki tarah, meray khad-o-khaal mai tha


Yeh harf harf mai khusbu, yeh roshni ka hunar
Mera to kuch bhi nahi, sab teray jamaal mai tha


Jo muskura kay judai ki baat karta tha
Mujhe mila to girift-e-shabb-e-malaal mai tha


Yeh log yun to nahi thay jo ab zawaal mai hain
Yeh shehar aisa nahi tha keh jab kamaal mai tha


Keh manzaron mai jo manzar thay woh khulay mujh par
Yehi hunar to meri wus’at-e-khayaal mai tha


Andhairi raat mai jaisay chiraagh jal utthain
Yeh kiya tilism teray ism-e-baymisaal mai tha

| 0 comments | Labels:

Kabhi zard ruton say bhi poochna
Keh ju-e-wafa kay thay jo merhalay
Sang-e-aastaan thaa jo ghuroor ka
Woh jo paabajola-e-rasm thi
Ussay kis zakham nay dubo diya
Dil-e-daaghdaar nay wisaal-e-yaar mai
Guzaaray hain jo rattjagay woh kis
Kis muqaam mai jaa basay
Kabhi zard rutton say bhi poochna
Keh patton kay chatakhnay say jo siskiyaan si goonjti theen
Woh kab, kahaan, kis pal, hijr say jaa mileen

Woh jo aas ki pazmurda si shaakh thi
Woh kis nokeelay khuwaab kay baar say jaa jhuki
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Kay hawaa-e-dasht ki sarsaraahat
Mai kaifiyyat-e-bahaar thi, woh kis pal
Dasht-e-sansanaahat mai dhal gaee
Woh jawaar-e-manzil say jo lurrhaktay
Sisaktay musaafir thay aakhir woh kis
Panaah-gaah mai jaa chuppay
Woh jo fasl-e-gul ki mehdood-o-masdood si kalyaan theen
Woh kis khizaan mai badal gaeen
Kabhi zard ruton say bhi poochna
Keh intezaar kay Dastay naag ka taryaaq hay kiya?
Neend say bojhal band aankhon mai dard ki chubbhan si hay kiya?
Aur kabhi fursat milay to khud say bhi poochna
Keh muhabbat aur nafrat kay maabain muslehat
Ki chaader hay kiya?
Haan kabhi zard ruton ki ot mai khud say bhi poochna
Kabhi zard ruton say bhi poochna

| 0 comments | Labels:

Nahin aisay satao tum, Mujhay Tanhai dasti hai
Kahin say lot aoo tum, Mujhay Tanhai dasti hai

Yaqeen tum ko meri baaton pe akhir kyun nahin hota
Meri jaan maan jao tum, Mujhay Tanhai dasti hai

Koi dastak koi aahat na koi ghar pe aaya hai
Parindo chehchahao tum, Mujhay Tanhai dasti hai

Mujay lagtha hai mujh ko ab judai maar daalay gi
Keh ab to maan jao tum, Mujhay Tanhai dasti hai

Na janey tum kahan per chor aye ho Naseeb us ko
Usey phir ley hi aao tum, Mujhay Tanhai Dasti Hai

| 0 comments | Labels:

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar
Jo Sunaaii Dey Usey Chup Sikha jo Dikhaaii Dey Usey Khwaab Kar

Abhi muntashir Na ho Ajnabii Na Wisaal rut Key Karam jata
Jo Teri Talash Mein gum huay Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar

Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pey Yeh Abr Kyun
Mujhey Orhnay Dey Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar

Kahien Aablon Key Bhanwar Bajain Kahien Dhoop Roop Badan Sajain
Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj Dey Kabhi Chashm e Tar ko Chanaab Kar

Yeh Hajoom e Sitam-GaraaN Na Suney Ga Teri Sada Kabhii
Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Sey Khataab Kar

Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar hai Tahii Dasta Yaar Saja Isey
Koii Ashk Phir Sey Sharar Bana koii Zakhm Phir Sey gulaab Kar

| 1 comments | Labels:

Her koi apney he aazar ka aawaza karey
Kon is habs mein dewaar ko darwaza karey

Der tak hijr k barzakh mein na afsurda rakh
Day koi zakhm jo is dil ka junoon taza karey

Baaz rishton ki bhi ek umr hua karti hai
Kab talak koi taalluq ko taro-taaza karey

Laut jati hai maseeha ki nazar sahil say
Mujh mein doobey to merey dard ka andaza karey

Laakh tarteeb mein laatey raho wehshat apni
Ishq jub chahey dil-o-jaan ka sheraza karey

Yaar logon ne ganwa-di hai magar aankh Saeed
Is chaka-chond mein zulmat ka jo andaza karey

| 0 comments | Labels:

Main khud zameen hon magar zarf aasman ka hai
Keh toot kar bhi mera hosla chatan ka hai.

Bura na maan mere hurf zehar, zehar say hain
Main kya karon keh yehi zaiqa zuban ka hai.

Har aik ghar mein musallat hai dil ki weerani,
Tamaam sheher pe saya meray makan ka hai..

Bichartay waqt se ab tak main youn nahi roya
Woh keh gaya tha keh waqt imtehann ka hai

Musafiron ki khabar hai na dukh hai kishti ka
Hawa ko jitna bhi ghum hai wo baadban ka hai

Jo barg-e-zard ki soorat hawa main urta hai
Woh aik warq bhi meri apni daastan ka hai.

Yeh aur baat, adalat hai be-khabar warna
Tamaam shehar mai charcha mere bayan ka hai.

Asar dikha na saka us ke dil main ashk mera
Yeh teer bhi kisi toti hoi Kaman ka hai.

Bichar bhi jae magar mujh se be-khabar bhi rahe
Yeh hosla kahan meray badgumaan ka hai..

Qafas to khair muqaddar main tha magar Mohsin
Hawa main shor ab tak meri uran ka hai

Saturday, July 12, 2008 | 0 comments | Labels:

Mujhay is jism kay sartaan say bahir nikalna hay
Abhi mujh ko teri pehchan say bahir nikalna hay

Main apnay aap main thehra hua aisa parinda hoon
Jisay is zaat kay dalaan say bahir nikalna hay

Ana ki aag main jalnay laga hay dil mera peham
Mujhay shayed teray ahsaan say bahir nikalna hay

Mujhay is zindagi say khof sa aanay laga hay phir
Mujhay is akhri behraan say bahir nikalna hay

Mujhay dar hay kay meri rooh ki na mout ho jaye
Mujhay apnay hi is insaan say bahir nikalna hay

Main surj lay kay aisa ratjagay kay beech aa betha
Jahan raton ko ik unvaan say bahir nikalna hay

Kai bikhri hui yaadain, kai vaaday, kai baatain
Yahi kuch to meray samaan say bahir nikalna hay

Main us kay pyar kay is khail ka aisa khilari hoon
Jisay her jeet kay imkaan say bahir nikalna hay

| 0 comments | Labels: