Author: Last Island
•7:55 PM

Na gahan aaj meray taar-e-nazar say kat gaye
Tukray tukray huay aafaq pe khursheed o qamar
Ab kisi samt andhaira na ujala ho ga
Bujh gai dil ki tarah raah e wafa meray baad
Dosto qafla-i-dard ka ab kya hoga
Ab koi aur karey parvarish e gulshan-i-gham
Dosto khatm hui dida-i-tar ki shabnam
Tham gya shor-i-junoon khatm hui barish-e-sung
Khaak-e-reh aaj liye hai lab e dildar ka rung
Koo-e-janan main khula meray lahoo ka parcham
Dekhiye detay hain kis kis ko sada meray baad
Kon hota hai hareef-e-mae mard afgan-e-ishq
Hai mukarrar saqi pe sala meray baad.

Author: Last Island
•7:53 PM

Talub ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon!
Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karoon

Ubhartay doobtay sooraj say tor loon rishta
Main sham orh kay so jaon aur sahar na karoon

Ab is say barh kay bhala kya ho ehtiyat-e-wafa
Main tere sheher say guzroon, tujhe khaber na karoon!

Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
In ansu'on ki wazahat main umer bher na kroon!

Ujar shab ki khalish ben kay bun main kho jaoon
Main chandni ki terha khud ko derbader na karoon!

Wo aik pal ko dikhai to day kaheen Mohsin
Main jan gunwa k bhi us pal ko mukhtasir na karoon!

Author: Last Island
•7:46 PM

Ab kia kahain ab kia sunain,
Keh sar'e faseel'e sukoot'e jaan,
Kaf'e roz-o-shab peh sharar numa,
Woh joh jaan-ba-lab chiraagh tha,
Usay kis hawa nay bujha dia.
Kabhi lab hilain gay to poochna,
Sar'e shehr'e ehd'e wisaal'e dil,
Woh jo nikhaton ka hujoom tha,
Usay dast'e mauj'e firaaq nay,
Tahay khaak kab mila dia.
Ab kia kahain ab kia sunain.
Yonhi khuahishon kay fishaar main,
Kabhi bay sabab kabhi bay khabar,
Kahan kaun kis say bichar gaya,
Kisay kis nay ganwa dia.
Kabhi gul khilain gay to poochna.
Kabhi phir milain gay to poochna.

Author: Last Island
•7:45 PM

Yehi gar zid tumhaari hey
Chalo hum bhool jaatey hain!
Sabhi waadey, sabhi qasmain
Mohabbat ki sabhi rasmain
Nahi, manzoor jo tum ko
Karain ranjoor jo tum ko
Tumhaari shaad-maani hi, azeez-az-jaan hey jab to
Tumhain phir tokna kesa?
Zyaan, sood ki baabat, bhala phir sochna kaesa
Chalo hum bhool jaatey hain..!
Mohabbat ki riyazat main
Wafaaon ki musaafat main
Qadam kis ke kahaan behkey, hui kis sey kahaan larzish
Basaa di jis ney ik pal main, humaari aankhon main baarish
Ke jis ki tez boondon ney
Kisi tezaab ki soorat
Nishaan-e-manzil-e-dil hi, jala dala mita dala
Magar jaanan
Kahaan aasan hota hey?
Jigar ka khoon ashkon mein, badalna aur bahaa dena
Khas-o-khashaak chun chun kar
Gharonda ik banana aur…ussi ko phir jala dena
Jawaan sapnon ki laashon ko
Daroon-e-jaan chuhpaa kar…muskura dena
Khizaa'ein paalna khud mein, bahaar'ein baant'tey phirna
Kahaan aasaan hota hey..?
Buhat mumkin hey hum bhi haar hi jaaein
Jawaan hey zabt jo ab tak
Muqaabil ghum ke aaey..aur Dhaey jaaey
Aur iss mein bhii taa’ajub kiyaa?
Tumhaarey lout aaney ki..bachi ho aas jo koi
Nawaaey be-zubaan ban kar
Sisak kar phir sey utthey aur..tum tak bhi puhanch jaaey
So tum sey ye guzaarish hey
Tab ik ehsaan tum karna
Palat kar dekhna yuun sard nazron sey
Ke jo bhii aas zinda ho..
Ussey yak-sar mita dena
Humein pathar bana dena

Author: Last Island
•7:41 PM

Kisi Lerki Say Mat Kehna
Kay Us Say Pyar Kertay Ho
Ager Ek Bay Dhayani Main
Yeah Iqrar Ker Bethay
Kisi Say Pyar Ker Bethay
To Phir Wadoon Ki DoRoon Main
Ualajh Ker Toot Jao Gay
Tumharay Pyar Ka Us Ko
Ager Ehsaas Ho Jayay
To Ho Sakta Hai Tum Us Ka
Rang-O-Roop Ban Jao
Mohabbat Kay Safar Main Shayad
Aaisa Morr Aajayay
Kay Tum Narazgi Ka
BerMila Izhaar Ker Bethay
Koi Inkaar Ker Bethay
To Yeah Samjhoo Koi Sheesha,
Koi Dil Toot Jayay Ga
Kay In Kay Dil Bohat Nazuk,
Bohat Kumzoor Hotay Hain
Kisi Lerki Kay Dil Ka Tootna Bhi
Mout Hoti Hai
Kise larkii se na kehna
Keh Us say Pyar karte ho

Author: Last Island
•6:58 AM
Dil ki naa maan, waqt nikal jaaey gaa
Dil tou phir dil hai, sambhal jaaey gaa

Bacha kay rakh umeedon ki kiran warna,
Tujhay saamp andhairon ka nigal jaey gaa

Tairay sar pay sajaa wo aahni gharoor,
Mairay ijz ki lau say pighal jaaey gaa.

Shab kay dilaason pay yakeen kyunkar ho,
Subah hotay hee fasaana badal jaaey gaa.

Chand pay reh magar matti ko bhi daikha kar,
Tuu khaaki hai, khaak mein mil jaaey gaa.

Mairee kamm raftaar, aur taiz ravee tairee,
Thamm jaaey gee jab damm nikal jaaey gaa.

Aag bharki hai tou daikhna aey dost,
Jo lagaata hai, aap bhi jal jaaey gaa.


Poet: Ali Zaman