Author: Last Island
•11:38 PM

Zameen-zaaday chalo baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yehan to shaam say pehlay he sooraj doob jaata hai
Yehan her khuaab say pehlay he neendain chonk uthti hain
Baharain yoon guzarti hain ke jaisay waqt say un ki koi azli adaawat ho
Koi baadal nahin rukta hawa'ain bay-murawwat hain
Hueen sadyaan ke aankhon main koi sooraj nahin chamka
Koi shabnam nahin utree koi moti nahin damka
Chalo yeh to humaree kum-nigaahi ki sazaa thehri
Magar hum khuwaab na daikhain to neendain bay-samar apni
Sama'at bay-khabar apni sazaa na-mutabar apni
Zameen-zaaday chalo baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yeh baatain jo sulagtee hain magar kirnain nahin banteen
Inhain roshan agar kar paao to kitnay sakhee thehro
Magar kya kar sako gay tum? Magar kya kar sakain gay hum
Keh hum is shehr main bay-khuwaab raaton kay hawaalay hain
Zameen-zaaday zameen pay basnay waalay thaknay waalay hain

Author: Last Island
•11:35 PM

Meri aa’nkhooN pe marta tha
Meri baatooN pe hasta tha
Najaney shakhs tha wo kaisa
Mujhe khoney say derta tha

Mujhe jab bhi wo milta tha
Yehi her bar kehta tha


Suno!!!!!

Agar main bhool ja’ooN tu
Agar main rooth ja’ooN tu

Kabi wapis na aa’oun tu
Bhula paa’oo gay ye sab kuch
Yuunhi hansty raho ge kia
Yuunhi sajtey raho ge kia

Yehi batein haiN bas uski
Yehi yaadein hain bas uski
Mujhe itna pata hai bas……!
Mujhe wo pyar kerta tha,


Mujhe khoney se derta tha

Author: Last Island
•11:26 PM

Talub ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon!
Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karoon

Ubhartay doobtay sooraj say tor loon rishta
Main sham orh kay so jaon aur sahar na karoon

Ab is say barh kay bhala kya ho ehtiyat-e-wafa
Main tere sheher say guzroon, tujhe khaber na karoon!

Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
In ansu'on ki wazahat main umer bher na kroon!


Ujar shab ki khalish ben kay bun main kho jaoon
Main chandni ki terha khud ko derbader na karoon!

Wo aik pal ko dikhai to day kaheen Mohsin
Main jan gunwa k bhi us pal ko mukhtasir na karoon!