twitter

Muhabbat diary her giz nahin hai
Jis mein tum likho
Keh kal kis rang kay kapray pehannay, Kaun si khushbu lagani hai
Kisay kya baat kehni, kon si kis se chupani hai
Kahan kis pair kay saaye talay milna hai
Mil kar poochna hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai?
Yeh farsooda sa jumla hai
Magar phir bhi yeh jumla
Dareechon, aanganon, sarkon, gali koochon mein, chaubaron mein
Chaubaron ki tooti seerhiyon main
Har jaga koi kisi say keh raha hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai?
Muhabbat diary her giz nahin hai
Jis mein tum likho
Tumhein kis waqt, kis say, kis jagah milna hai, kis ko chor jana hai
Kahan per kis tarha ki guft-o-gu karni hai ya khamosh rehna hai
Kis ke sath kitni door tak jana hai aur kab laut aana hai
Kahan aankhein milana hai kahan palkein jhukana hain
Ya yeh likho keh ab ki baar jab woh milnay aaye aga
Tu us ka haath apne haath mein lay kar
Dhanak chehray pay roshan jagmagati raqs karti uski aankhon mein utar jain gay
Aur phir gulshan-o-sehra ke beecho beech dil ki saltanat mein khaak urra’ein gay
Bohut mumkin hai woh ujlat mein aaye
Aur tum us ka haath haathon mein na le pao
Na aankhon hi mein jhanko, aur na dil ki saltanat ko fatah kar pao
Jahan per guft-o-gu karni hai, tum khamosh ho jao
Jahan khamosh rehna hai, wahan tum boltay jao
Naye kapray pehan kar ghar se niklo, mailay ho jao
Koi khushbu laganay ka irada ho, to sheeshi haath se gir jaye
Tum weeran ho jao
Safar karnay se pehlay bay sar-o-saman ho jao
Muhabbat diary her giz nahin hai, aab ju hai
Jo dilon ke darmiyan behti hai, khushbu hai
Kabhi palkon pe lehraye, To aankhein hansnay lagti hain
Jo aankhon mein utar jaye to manzar aur pas manzar mein shamaein jalnay lagti hain
Kisi bhi rang ko choo lay
Wohi dil ko gawara hai
Kisi mitti mein ghul jaye
Wohi mitti sitara hai

Saleem Kauser
Wednesday, November 19, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: