twitter

Muhabbat diary her giz nahin hai
Jis mein tum likho
Keh kal kis rang kay kapray pehannay, Kaun si khushbu lagani hai
Kisay kya baat kehni, kon si kis se chupani hai
Kahan kis pair kay saaye talay milna hai
Mil kar poochna hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai?
Yeh farsooda sa jumla hai
Magar phir bhi yeh jumla
Dareechon, aanganon, sarkon, gali koochon mein, chaubaron mein
Chaubaron ki tooti seerhiyon main
Har jaga koi kisi say keh raha hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai?
Muhabbat diary her giz nahin hai
Jis mein tum likho
Tumhein kis waqt, kis say, kis jagah milna hai, kis ko chor jana hai
Kahan per kis tarha ki guft-o-gu karni hai ya khamosh rehna hai
Kis ke sath kitni door tak jana hai aur kab laut aana hai
Kahan aankhein milana hai kahan palkein jhukana hain
Ya yeh likho keh ab ki baar jab woh milnay aaye aga
Tu us ka haath apne haath mein lay kar
Dhanak chehray pay roshan jagmagati raqs karti uski aankhon mein utar jain gay
Aur phir gulshan-o-sehra ke beecho beech dil ki saltanat mein khaak urra’ein gay
Bohut mumkin hai woh ujlat mein aaye
Aur tum us ka haath haathon mein na le pao
Na aankhon hi mein jhanko, aur na dil ki saltanat ko fatah kar pao
Jahan per guft-o-gu karni hai, tum khamosh ho jao
Jahan khamosh rehna hai, wahan tum boltay jao
Naye kapray pehan kar ghar se niklo, mailay ho jao
Koi khushbu laganay ka irada ho, to sheeshi haath se gir jaye
Tum weeran ho jao
Safar karnay se pehlay bay sar-o-saman ho jao
Muhabbat diary her giz nahin hai, aab ju hai
Jo dilon ke darmiyan behti hai, khushbu hai
Kabhi palkon pe lehraye, To aankhein hansnay lagti hain
Jo aankhon mein utar jaye to manzar aur pas manzar mein shamaein jalnay lagti hain
Kisi bhi rang ko choo lay
Wohi dil ko gawara hai
Kisi mitti mein ghul jaye
Wohi mitti sitara hai

Saleem Kauser
Wednesday, November 19, 2008 | 0 comments | Labels:

Nahi mil raha hai yahan kaheen meri zaat ka hi nishan mujhey
Sun aey justuju dey jawaab tu, ke ley aai hai ye kahan mujhey!

Wo sabaq mein parh ke bhula chuka ke usool banatey hein zindagi
Mujhey mantaqi si daleel dey, ye muhawarey na suna mujhey

Tujhey kya khabar mein dil mein dard, liye phir raha hoon ajab ajab
Teri mashq puraani hai yaar tu, kya ghaao dey ga naya mujhey

Nahi kuch gila ke ye sab hai kya, bhaley kuch ajab hai ye maajra
Keh merey aik jurm pe baar baar, koi dey raha hai sazaa mujehy

Ye jo chaahaton ke bazaar hein yahaan bik raha hai sabhi magar
Yahan kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey!

Merey hum’nawa bhala mein kahan, terey waastey mujhey bhool ja
Tu ney khwahishon ke auraq par, kaheen likh dia to mita mujhey

Yun diye na rakh merey haath pe ke katain ge nahi phir raastey
Kabhi rok lein gi baarishein to kabhi tang karey gi hawa mujhey

Kataa zindagi ka katthin safar, mein muflisi mein mraa magar
Mein gulshanon ka makeen tha, zara khushbu'ain to laga mujhey

| 0 comments | Labels:

Ye Raakh Raakh Rutein, Apni Raat Ki Qismat
Tum Apni Neend Bujhaao, Tum Apnay Khuaab Chuno
Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kya Dena
Tum Apnay Dil Main Dharaktay Huay Haroof Suno
Tumharay Shehar Ki Galiyon Main Sail-e-Rang Bikhrain
Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien
Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo
Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien
Nahin Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno
Har Aik Sada Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin

Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi Kyun Tootay
Saba Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin
Hum Aisay Log Bohat Hain Jo Sochtay Hi Nahin
Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gaee
Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kya Jaanay
Keh Fasal-e-Bakhshish-e- Moj-e-Faraat Beet Gayee
Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Noch Dala Hai
Woh Aik Sadii Thi Jo Bay-Iltifaat Beet Gaee
Hamari Aankh Lahoo Hai, Tumhein Khaber Hogi
Chiraagh Khud Se Bujha Hay Keh Raat Beet Gayee

Friday, November 7, 2008 | 0 comments | Labels:


-->
Main kehti thi kaho itna kahan tak aazmaa’o gay
Wo bola bus wahan tuk, jab tum apni jaan se jao gay


Saturday, November 1, 2008 | 0 comments | Labels:

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli
Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli

Woh jo mehvar thaa likhne ka, juda ho kar mila ek din
Mila tu yeh kaha us ne suna likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi chaahat mein tumhara naam ‘Saail’ hai
Suna hai ab bhi tum mujh ko Khuda likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi tum mujh ko mere Saahir bulati ho
Suna hai mujh ko rag rag mein basa likhna nahe bhooli

Kaha ke bhool bethi hoon hatheli per hina likhna
Magar mein aasmanoo per dua likhna nahe bhooli

Samay ke uth’tay mathay per tujhe dhoonda, bahut dhoonda
Samay ke jhuktay shanoo per sada likhna nahe bhooli

Mujhe ek din mere kaatib ne likha thaa juda tujh se
Mein tujh ko aaj bhi khud se juda likhna nahe bhooli

Chupane ke leye sab dukh abhi bhi muskurati hoon
Mein ab bhi chehre per chehre naya likhna nahe bhooli

Mein ab bhi is judai mein kae dukh dard sehti hoon
Mein ab bhi teri aankhoon ko shifa likhna nahe bhooli

Kiya thaa tarq-e-taaluq ka iraada aik pal mein ne
Mein ab bhi us iraaday ko saza likhna nahe bhooli

Batao tum mujhe Janaan! mein kaise bhool sakti hoon
Abhi qudrat mera jeevan numa likhna nahe bhooli

Judaee kaat li mein ne magar marnay se kuch pehle
Mein zindaan ke darechoon per saba likhna nahe bhooli

| 0 comments | Labels:


-->
Meray kam-sukhan ka yeh hukm tha, keh kalam us say main kam karoon
Meray hont aisay silay keh phir, meri chup nay us ko rula diya

| 1 comments | Labels:

Usey kehna ………!

Humaim kab farq parta hai

Keh…..!

Hum tou shaakh say tootey huay pattey

Buhat arsaa hua hum ko

Ragain tak mar chukeen dil ki

Koi paaoun taley rondey

Jalaa kar raakh kar daaley

Hawaa kay haath par rakh kar

Kahin bhi phaink day hum ko

Supurd-e-khaak kar daaley

Humain ab yaad hi kab hay?

Keh hum bhi eik mausam thay

Kisi gulshan ki zeenat thay

Kisi tehni ki qismat thay

Kai aankhon ki raahat thay

Yaa jeewan ki hararat thay

Buhat arsa hua woh khawaab sa mausam

Humaarey haath sey phisla

Ya shaaid phir khizaan mausam ko

Hum apna samajh bethey

So uss din say……

Kisi mausam say ab apna

Koi rishta nahi banta

Kisi ki shaakh ki baanhein

Humain pehchaanti kab hein?

Kabhi hum inki dharkan they

Ye shaakhein maanti kab hein?

| 0 comments | Labels:

Kabhi tum laut ke aao
Mujhay bus itna samjhao
Kahan se seekh li tum ne,
Ada mujh ko bhulane ki

Tumhain mujh se jo shikwa tha
Ya koi bhi shikayat thi
Na ki koshish batanay ki
Bbhala yun chor ke apna
Koi apnon ko jata hai

Musalsal dukh ki barish main
Yun jeevan bhar rulata hai
Abhi tau rait geeli hai
Banay apnay gharondon ki
Abhi sub naqsh baqi hain
Gaye qadmon pe laut aao

Mujhay bus itna samjhao
Kahan se seekh li tum ne
Ada mujh ko bhulanay ki

| 0 comments | Labels:


-->
Kya Shart-e-Mohabbat Hai, Kya Shart-e-Zamana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Woh Geet Bhi Gaana Hai


| 0 comments | Labels: