twitter

Saiyan zaat adhoori hay, Saiyan baat adhoori hay
Saiyan raat adhoori hay, Saiyan maat adhoori hay
Dushman chaukanna hay laikan, Saiyan ghaat adhori hay

Saiyan ranj malal bohat, Deewanay be haal bohat
Qadam qadam per jaal bohat, Pyar muhabbat kaal bohat
Aur isi aalam mein saiyan, Guzar gaye hain saal bohat

Saiyan har soo dard bohat, Mausam mausam sard bohat
Rasta rasta gard bohat., Chehra chehra zard bohat
Aur sitam dhanay ki khatar, Taira ik ik fard bohat

Saiyan tairay shehar bohat, Gali gali mein zehar bohat
Khof zada hay dehar bohat, Us pe taira qehar bohat
Kali raatein itni kyun, Hum ko ik he pehar bohat

Saiyan dil majboor bohat, Roh bhi choor o choor bohat
Paishani be noor bohat, Aur lamhay maghroor bohat
Aisay mushkil aalam mein, Tu bhi hum se door bohat

Saiyan raahein tang bohat, Dil kamm hain aur sang bohat
Phir bhi tairay rang bohat, Khalqat sari dung bohat
Saiyan tum ko aatay hain, Behlanay kay dhung bohat

Saiyan mairay taaray gum, Raat kay chand saharay gum
Saray jan se pyaray gum, Aankhein gum nazaray gum
Rait mein aanso doob gaaiy, Rakh mein huway shararay gum

Saiyan rishtay toot gaye, Saiyan apnay chhoot gaye
Such gaye aur jhoot gaye, Taiz moqaddar phoot gaye
Janay kaisay dakoo thay , Jo lutay huwo ko loot gaye

Saiyan tanha shamo mein, Chunay gaaiy hain bamo mein
Chahat k ilzamo mein, Shamil huway hain ghulamo mein
Apni zaat na zato mein, Apna naam na namo mein

Saiyan vairani k sadqay, Apni yazdaani kay sadqay
Jabar e insani k sadqay, Lambi zindani kay sadqay
Saiyan mairay achhay Saiyan, Apni rehmani kay sadqay

Saiyan mairay dard ghata, Saiyan mairay zakhm bujha
Saiyan mairay aib mita, Saiyan koi naveed suna
Itnay kalay mausam mein, Saiyan apna aap dikha

Saiyan Mairay Achhay Saiyan, Saiyan Mairay Dolay Saiyan
Saiyan Mairay Pyary Saiyan, Saiyan Mairay Beebay Saiyan

Monday, October 20, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: