twitter

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karti?
Tawiil hota gaya faasla main kya karti ?

Har aik shakhs ko tha zaum e rahbari kitna
bhatak raha tha mera qaafla main kya karti?

Gham-e-hayat gham-e-ishq aur gham-e-janan
Ulajh gaya tha har ik silsala main kya karti?

Tumharey sath kisey faisaley ki fursat thi
Tumharey baad bhala faisla main kya karti?

Bohat sambhaal kay rakkha tha dil mein raaz tera
Woh ban kay ashk jo girnay laga main kya karti?

Mujhi sey mangney aaya woh lay kay Majhburi
Ab uss sey us ki jafaa ka gilaa main kya karti?

Woh aansu'on ki zubaan janta na tha meri . .
Mujhe baya'n ka na tha hosla main kya karti?

Saturday, September 27, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: