twitter

Zindagi ki dhoop main
Hum'safar k roop main
Banay jo mera saaibaa'n
Hon us main chand khubiyan
Wo khush shakal zaroor ho
Per us main na ghuroor ho
Chaal main waqar ho
Shokhiyon sey piyar ho
Guftugu main narm ho
Mizaj ka na garm ho

Bhaley sey woh ghareeb ho
Per shart hai shareef ho
Nafaasaton ki baat ho
Misal us ki zaat ho
Zarf baa'kamaal ho
Na dil main koi baal ho
Jo bazm ki woh jaan ho
Khuda ka bhi dhiyan ho
Dee'n ki sakht raah main
Day is tarah sey sath woh
Jahan bhi dag'magaaun main
Pakar lay mera haath woh

Faraib day na woh mujhay
Zindagi k morr parh
Kahin parrey na torrna,
Us se naata jorr karr
Haan aisa ho agar kabhi
Main bhool ker alam sabhi
Mai iss sulagti raah per
Uss ka haath thaam ker
Ye zindagi k roz-o-shab,
Mai huns k bus guzaar dun
Kerey wafa jo woh sada
To jaan us pe waar dun

Magr yeh khwab hain merey
Haqeeqaton se bey'khabar...

Haqeeqatain to talkh hain
Aur talkh jaam pee k ab
Koi jhoomta hai kab !
Sara nasha to zar main hai
Ya mai'kaday k dar main hai
Aur zindagi ki dhoop main
Hum'safar k roop main
Koi ban k mera saaibaa'n
Kyun piye yeh talkhiyan !
Woh talkhiyan jo zindagi ki rooh ko nikhaar dain
Azeem ik waqar dain, aur aakhrat sanwaar dain
Ke ab nasha to zar man hai
Yeh mai'kaday k dar main hai
Aur...

Par merey khwab hain abhi
Haqeeqaton sey bey'khabar !!

Tuesday, June 10, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: