twitter

Kin lafzon main itni karvi, itni kaseli baat likhoon
Shair ki main tehzeeb nibha'un ya apne halaat likhoon

Gham nahi likhun kya main gham ko, jashn likhun kya matam ko
Jo dekhay hain main nay janaazay, kya unko baraat likhoon

Kese likhun main chand k qisse, kese likhun main phool ki baat
Rait uraaye garm hawa to, kaisay main barsaat likhoon

Kis kis ki aankhon main dekhe main ne zeher bujhe khanjar
Khud se bhi jo main ne chhupaaye kaise woh sadmaat likhun

Takht ki khwahish, loot ka lalach, kamzoron pe zulm ka shauq
Lekin unka farmaana hai main inko jazbaat likhoon

Apni apni taareeki ko log ujaala kehtay hain
Tariki ka naam likhun to qaumain, firqay, zaat likhun

Jaane yeh kaisa daur hai jis main yeh jurrat bhi mushkil hai
Din ho agar to usko likhoon din raat agar ho raat likhoon

Tuesday, May 13, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: