twitter

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon

Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon

Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagma jaye To Kya Karoon

Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon

Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

Tuesday, May 13, 2008 | 0 comments | Labels:

Woh Ik Shaks Jo Sab K Agay Hasta Hasta Rehta Hai
Tum Kia Jano Ander Say Woh Kitna Toota Rehta Hai

Us Ki Batain Sun K Sab K Dil Khush Hotay Rehtay Hain
Laikin Uss K Apnay Dil Main Matam Hota Rehta Hai

Koi Diye Say Poochay Sab Ko Roshni Denay Ki Khatir
Kitni Azeeyat Sehta Hai Woh Kaisay Jalta Rehta Hai

Zalim Log Jahan K Uss Ko Pagal Pagal Kehtay Hain
Ik Deewana Deewaron Say Batain Kerta Rehta Hai

Tum To Us Kay Paigamon K Tukray Kertay Jatay Ho
Aur Woh Apni Tehreeron K Tukray Chunta Rehta Hai

Tera Ik Aisa Deewana Bhi Hai Teri Nagri Main
Hath Pay Teray Naam Ko Likh k Us Ko Takta Rehta Hai

Teray Milan Ki Aas Main Koi Iss Had Tak Deewana Hai
Apni Palkon Say Woh Khwab Suhanay Bunta Rehta Hai

Iss Ko Roko Apnay Sir Pay Koi Tohmat Lay Lay Ga
Apnay Shairon Main Yeh Kaisi Batain Likhta Rehta Hai

Jab Say Tum Nay Hukm Diya Hai Asim Ko Chup Rehnay Ka
Apnay Mun Say Kuch Nahi Kehta Sab Ki Sunta Rehta Hai

| 0 comments | Labels:
Dasht e Hijran Mein Saya Na Sada Teray Baad
Kitney Tanha Hain Teray Aabla Pa Teray Baad

Koi Paighaam Na Dildaar - Nawa Teray Baad
Khaak Urati Hoi Guzri Hai Saba Teray Baad

Lab Pey ik Harf e Talab Tha Na Raha Teray Baad
Dil Mein Taseer Ki Khwaahish Na Dua Teray Baad

Aks o Aaina Mein Ab Rabt Ho Kya Teray Baad
Hum To Phirtey Hain Khud Apnay Sey Khafa Teray Baad

Dhoop Aariz Ki Na Zulfon Ki Ghata Teray Baad
Hijr Ki Rut Hai Keh Habs Ki Fiza Teray Baad

Liye Phirti Hai Sar e Koo e Jafa Teray Baad
Parcham e Tar Girebaan Ko Hawa Teray Baad

Pairhan Apna Salamat Na Qaba Teray Baad
Bas Wohi Hum Hain Wohi Sehra Ki Rida Teray Baad

Nikhat o Ney Hai Na Dast e Qazaa Teray Baad
Shakh e Jaan Par Koi Ghuncha Na Khila Teray Baad

Dil Na Mehtaab Sey Uljha Na Jala Teray Baad
Aik Jugnoo Tha Chup Chap Bujha Teray Baad

Kon Se Rangon Key Bhanwar, Kesi Hina Teray Baad
Apna Hi Khoon Apni Hatheli Pey Saja Teray Baad

Dard Seenay Main Hua Noha-Sara Teray Baad
Dil Ki Dharkan Hai Keh Matam Ki Sada Teray Baad

Aik Hum Hain Keh Hain Be Barg o Nawa Teray Baad
Warna Aabaad Hai Eik Khalq e Khuda Teray Baad

Eik Qyamat Ki Kharashain Meray Chehrey Pe Sajien
Eik Mehshar Meray Ander Sey Utha Teray Baad

Tujh Sey Bichra To Murjha Key Hawa Burd Hua
Kon Daita Hai Mujhey Khilney Ki Dua Teray Baad

Aey Flak Naaz Meri Khaak Nasheeni Teri Bakhshish
Main Ney Mitti Pey Tera Naam Likha Teray Baad

Tu Keh Simta To Rag e Jaan Ki Hadon Mein Simta
Main Keh Bikhra To Samaita Na Gaya Teray Baad

Milney Waaley Kai Mafhoom Pehan Kar Aaye
Koi Chehra Bhi Na Aankhon Ne Parha Teray Baad

Bujhey Jatey Hain Khad o Khaal e Manazir e Ufaq
Phelta Jata Hai Khwaahish Ka Khala Teray Baad

Yeh Alag Baat Hai Keh Afsha Na Hua Tu Warna
Main Ney Kitna Tujhey Mehsoos Kiya Teray Baad

Meri Dukhti Hui Aankhon Sey Gawaahi Laina
Main Ne Socha Tujhey Apney Se Siwa Teray Baad

Seh Liya Dil Ney Teray Baad Malamat Ka Azaab
Warna Chubti Hai Rag e Jaan Mein Hawa Teray Baad

Jaan e Mohsin Mera Hasil Yehi Mubham Satrain
Shair Kehnay Ka Hunar Bhool Gya Teray Baad
| 0 comments | Labels:

Bujhay Dil say kisi ka muskara dena bohat Mushkil
Kisi kay wastay sub kuch luta dena bohat Mushkil

Kisi ka khawab aankhon mein saja leena bohat aasan
Kisi ka dard ankhon mein chupa lena bohat mushkil

Zara mushkil to hota hai kisi ka dil chura lena
Chura kar dil kisi ka phir jata dena bohat mushkil

Kisi ki yaad k moti mery aankhon mein ruqsaan hain
Yeh gohar ansu'on k sung baha dena bohat Mushkil

Basa auqaat kahani chupke se aisi banti hai
Jis ka her kisi ko suna dena bohat mushkil

Kisi kay saath rahne par bahanay roz kar dena
Sabab ek sath rahne ka batadena bohat mushkil


Charagh e dil kisi bhi gaam per madham na ho gee
Keh is bujhtay dil ki lau barha dena bohat mushkil

| 0 comments | Labels:

Kin lafzon main itni karvi, itni kaseli baat likhoon
Shair ki main tehzeeb nibha'un ya apne halaat likhoon

Gham nahi likhun kya main gham ko, jashn likhun kya matam ko
Jo dekhay hain main nay janaazay, kya unko baraat likhoon

Kese likhun main chand k qisse, kese likhun main phool ki baat
Rait uraaye garm hawa to, kaisay main barsaat likhoon

Kis kis ki aankhon main dekhe main ne zeher bujhe khanjar
Khud se bhi jo main ne chhupaaye kaise woh sadmaat likhun

Takht ki khwahish, loot ka lalach, kamzoron pe zulm ka shauq
Lekin unka farmaana hai main inko jazbaat likhoon

Apni apni taareeki ko log ujaala kehtay hain
Tariki ka naam likhun to qaumain, firqay, zaat likhun

Jaane yeh kaisa daur hai jis main yeh jurrat bhi mushkil hai
Din ho agar to usko likhoon din raat agar ho raat likhoon

| 0 comments | Labels:
Yahan chahaton ka sila nahi,
Yahan dosti ka maza nahi
Yahan janay kaisi hawa chali,
Rahi doston main wafa nahi
Yahan jal gaya maira aashiyan,
Abhi badalon ko pata nahi
Teray dar pay dastak dey sakoon,
Yeh haq to tu nai diya nahi
Main raahi hoon rah-e-umeed ka,
Mujhay manziloon ka pata nahi
Bay bus hoon jahan main itna,
Jesay mera koi khuda nahi
Meri sadgi mera jurm hai
Koi or meri khata nahi

Lubna Kanwal
| 0 comments | Labels: