twitter

Mujhay is zindagani say koi shikwa nahin lekin
Zara si bay sakooni hai
Najany kyun meray dil main
Ajab aik khauf rehta hai
Mujhay mehsoos hota hai
Keh meray dil kay darwazay pe
Teri yaad ki dastak main wo shiddat nahin baqi
Bohot hi khaas batain hain
Jo mujh ko aam lagti hain
Meray dil main unhain sun ker koi toofan nahin uthta
Teri aankhain, tera chehra, teri aawaz ki rim jhim
Sabhi kuch khwab lagta hai
Mujhay mehsoos hota hai
Sunehri titliyon jesay
Wo sub khush rang say sapnay
Meray lafzon kay phoolon per
Bohot din say nahin bethay
Mujhay mehsoos hota hai
Samay ki taiz lehron nay
Hamaray rait kay kachchay ghar gharonday tor dalay hain
Mujhay un taiz lehron say
Sunehri titliyon say
Sabhi khush rang sapnon say
Koi skhikwa nahin lekin
Zara si bay sakooni hai
Mujhay mehsoos hota hai
Tumharay dil kay darwazay pe meri yaad ki dastak
Meri jaan ab nahin hoti
Meri jaan ab nahin hota
Keh meri yaad aaye to
Tumhari aank bhar aaye
Dua’ain mangtay lamhay
Mujhay tum bhool jati ho
Magar phir muhay tum say
Koi shikwa nahin lekin
Ajab si bay sakooni hai
Anab aik khauf hai dil main
Main tum ko bhool jaon ga …….. !!!!

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: