twitter

Yeh saraaye hai yahan kis ka thikana dhoondo
Yaan to aatay hain musaafir, so chalay jatay hain

Haan yehi naam tha, kuch aesa hi chehra muhra
Yaad parta hai keh aaya tha musaafir koi
Soonay aangan main phira karta tha tanha tanha
Kitni gehri thi nigahon ki udasi us ki
Log kehtay they keh hoga koi aaseb-zada
Hum nay aesi bhi koi baat na us main dekhi

Yeh bhi himmat na hoi, paas bithaa key poochain
Dil yeh kehta tha koi dard ka mara hoga
Lot aaya hai jo aawaz na us ki paai
Jaanay kiss dar peh kisay ja key pukara hoga
Yaan to her roz ki batain hain yeh jeetain maatain
Yeh bhi chaahat key kisi khail main hara hoga

Aik tasveer thi, kuch aap say milti julti
Aik tehreer thi, per is ka to qissa choro
Chand ghazlain theen keh likheen, kabhi likh kar kaateen
Shair achay they, jo sun lo to kaleja thamo
Bus yehi haal musaafir ka tha, hum nay dekha
Jaanay kis raah main kis shakhs nay loota us ko

Guzra kartay hain sulagtay howay baaqi ayyam
Log jub aag lagatay hain bujhaatay bhi nahin
Ajnabi peet kay maaron say kisi ko kya kaam
Bastiyon walay kabhi naaz uthaatay bhi nahin
Cheen laitay hain kisi shakhs say ji ka aaraam
Phir bulaatay bhi nahin, paas bithaatay bhi nahin

Aik din subh jo dekhaa tu saraaye main na tha
Jaanay kis dais gya hai woh divana dhoondo
Hum say poocho to na aaye ga woh janay wala
Tum to na-haq ko bhataknay ka bahana dhoondo
Yaan to aaya jo musaafir younhi shab-bhar thehra
Yeh saraaye hai yahan kis ka thikaana dhoondo

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: