twitter

Ussi Aik Furd kay wastay Meray Dil mein Durd hai kis liye
Meri Zindagi ka Mutalba Wohi aik Furd hai Kiss liye

Tu ju Shehr mein hee Moqeem hai tu Musafirat ki Fiza hai kyoon
Tera Karwa’n jo nahi gaya tu Hawa mein Gurd hai kis liye

Na Jamal-o Husn ki buzm hai Na Junoon-o Ishq ka Azm hai
Sur-e-Dusht-e-Rukhs mein Hur Gahri ko baad gurd hai kis liye

Teray Husn say ye Pata chala Tujhay Dekh kur ye Khabr hoee
Jahan Rasta hee nahi koi Wahan Rah Nord hai kis liye

Jo Likha hai Meray Naseeb mein kahin Tu nay parh tu nahi liya
Tera Haath Surd hai kis liye, Tera Rung Zurd hai Kis liye

Wo Turk-e Rubt ka Ehud tha Kahin Tootnay tu nahin laga
Teary Dil kay Durd ko Dekh kur, Meray Dil mein Durd hai kis liye

Koi Wasta jo Nahin Raha Teri Aankh mein Ye Nami hai Kyoon
Meray Ghum ki Aag ko Dekh kur, Teri Aah Surd hai Kis liye….

Sunday, December 9, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: