twitter

Dareecha hai dhanak ka aur ik badal ki chilman hai
Aur is chilman kay peechay chhup kay baithay
Kuch sitaray hain, sitaron ki
Nigaahon main ajab si aik uljhan hai
Woh hum ko daikhtay hain aur phir aapas main kehtay hain
"Yah manzar aasman ka tha yahan per kis tarah pohoncha !!
Zameen zadon ki qismat may yeh jannat kis tarah aai?"
Sitaron ki yeh hairani samajh main aanay wali hai
Keh aisa dilnasheen manzar kisi nay kam hi dekha hai
Hamaray darmiyan is waqt jo chahat ka mausam hai
Isay lafzoon may likhain to kitabain jhilmila uthain
Yeh tum ho meray pehlu main
Keh khawab taabeer ki surat may aaya hai ?
Yeh khiltay phool sa chehra
Jo apni muskurahat say jahan may roshni ker day
lahu may taazgi bhar day
Anokhi si koi khusboo keh aankhain band ho jain
Sukhaun ki jagmagahat say shagufay phoot'tay jain
Chupa kajal bhari aakhon may koi raaz ghahra hai
Boht nazdeek say daikhain to cheezain phail jati hain
So meray chaar su do jheel si aankhon ka phehra hai
Tumhay main kis tarah dekhoon !!!!

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: