twitter

Woh Bhi Kia log Thay Aasaan Theen Rahien jin Kii
Band Aankhien Kiye Ik Simat Mein Chalay Jatay Thay
Aql o Dil Khwaab O Haqeqat Kii Na Uljhan Na Khalish
Mukhtalif Jalway Nigahon Ko Behlatay Thay

Ishq Saada Bhi Tha Bekhud bhi Junoon Paisha Bhi
Husn Ko Apni Adaon Pey Hijaab Aata Tha
Phool Khiltay Thay To phoolon Mein Nasha hota Tha
Raat Dhalti Thi To Sheeshon Pey Shabab Aata Tha

Chandni Kaif-Asar rooh-Afza hoti Thi
Abr Aata Tha To Bad-Mast Bhe ho Jatay Thay
Din Mein ShoriSh Bhi hua Karti Thi Hangamay Bhi
Raat Ki goad Mein muun dhaanp Kat So Jatay Thay

Narm Rau Waqat Kay Dharay Pey Safeenay Thay Rawaan
Saahil O Behar Kay Aaieen Na Badaltay Thay Kabhi
Na Khudaon Pey Bharosa Tha Muqadar Pey Yaqeen
Chaadar e Aab Sey toofaan Na Ubaltay Thay Kabhi

Hum Ke toofanon Kay Paalay Bhi Sataye Bhi hain
Barq O Baaraan Mein Wo Hii Shamaien Jalaien Kaisay
Yeh Jo Aatish-Kada dunya Mein Bharak Utha Hai
Aanso'on Sey Usay Har Baar bujhaiyen Kaisay

Kar Diya Barq O Bukharaat Ney Mahshar Barpa
Apnay Daftaar Mein Lutaafat Kay Siwa kych Bhi Nahien
Ghir Gaye Waqt Ki Bay Reham Kasha-Kash Mein Magar
Paas Tehzeeb Ki Daulat K Siwa Kuch Bhi Nahien

Yeh AndhaiRa Yeh Talatum Yeh Hawaon Ka Kharosh
Is Mein Taron Kii Subuk Narm Ziyaan Kia Kartii
Talkhi e Zeest Sey Karwa hua Aashiq Ka Mizaaj
Nigaah e Yaar Kii Masoom Aada Kia Kartii

Safar Aasaan Tha Manzil Bhi Bari roshan Thii
Aaj Kis Darja Pur-Asraar hain Rahien Apnii
Kitnii Parchaiyaan Aati hain Tajalli Ban Kar
Kitnay Jalvon Sey Ulajhtii hain Nigahien Apnii

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: