twitter

Shor machati barish
Bay-chaini berhaaye
Gum sum kamrah
Sans main jesay ghulta jaye
Lambi lambi aah bharain
To dil kay andar jesay koi cheekh uthay
Darwaza khulnay say habs zyada ho
Aur darwaza aur zyada khulta jaye
Deewaron nay sawan say keh rakha hai
Dil nay janay kia kia kuch seh rakha hai
Acha hai is shor machati barish main
Kabhi kabhi bijli bhi chamkay
Kabhi kabhi badal bhi garjay
Kabhi kabhi weerana khof say dhulta jaye
Shor machati barish bay-chaini barhaaye

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: