twitter

Ho na duniya mein koi hum sa bhi pyasa logo
Jee mein aata hai kah pee jayain yeh daryaa logo
Kitni is shehar kay sakhiyoon ke suni theen battain
Hum jo aye tu kissi nay bhi na poocha logoo
Itafaqun he sahi, par koi dar to khulta
Jhilmilaata pus e chilman koi saaya logo
Sab kay sab mast rahay apnay nehaan khanon mein
Koi kuch baat musaafir ki bhi sunta logo

Hon gay is shehar mein kuch usay bhi parhnay walay
Youn to yeah shakhas bhi mashoor tha khaasa logo
Kissi daman, kissi anchal ke hawa to miltee
Jab sar e raah yeh wa'manda gira tha logo

Aik tasveer thi, kya janiye kis ki tasveer
Naqsh mauhoom say aur rung urra sa logo
Aik awaaz thi, kya janiye kis ki awaaz
Uss nay awaz ka rishta bhi na rakha logoo

Kuch pata is ka hamain ho to tumhain batla'ain
Koun ghar ? koun nagar ? koun mohalla logo
Chand harfoon ka mo'amma tha woh uljha suljha
Uss nay to naam bhi poora na bataya logo

Haye yeh dard keh mushkil say thama tha dil mein
Chaand poonum ka abhi say nikal aya logo

Phir wohi dasht, wohi dasht ke tunhai hai
Wehshat e dil nay kaheen ka bhi na rakha logo
Uss mein himat hai, to dar aye, utha day yeh hisaar
Apnay gunbad mein tu dar hai na dareecha logo
Jee ke jee hee mein raheen hasratain tofaanoon ki
Yeah safeena tu kinaray pay hee dooba logo

Aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?
Kaisi sargooshi kartay hoo, aray kya logo ?
Koye payghaam e zubani bhi nahi, kuch bhi nahi
Hum nay apnay ko bohat dair sambhala logo

Band aankhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
Neend si neend ? humain ab na uthana logo
Aik he shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
Apnay ayaam mein amrooz na farda logo

Ab koye aye tu kehna kay, musafir to gaya
Yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo
Rah tuktay howay pathra si gai theen ankhain
Aah bhartay howay chalni howa seena logo
Hont jaltay thai jo layta tha kabhi aap ka naam
Iss tarhaan aur kissi ko na saatana logo

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: