twitter

Mujhey darya nahi likhna mujhey sehra nahi likhna
Tasalsul sey safar may hoon mujhey thehra nahi likhna

Puraney rabton ki rakhh aab tak dil may baqi hay
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo may ney khoya hay
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhri sarhad pey khara hoon
Mujhe fateh nahi likhna mujhe muhra nahi likhna

Tumhray aankh may gar mey kabhi chup chap jal joan
Tum apni aankhoon mey lekin mera sadma nahi likhna

Gawahi apney dil sey lo tumhara dil kya kehta hay
Mujhe jhota nahi likhna mujhe saccha nahi likhna

May uski yaad mey gum hoon key apney aap mey gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey Tanha nahi likhna

May apnay lafzon sey shuhrat tumhay dey jaonga ik din
Mujhey mashoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi usko mitana chaho…na mittey
Mujhey apna samjh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon mey batain hein magar chehrey pey gehri chup
Meri aankhain to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil may reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna

Saturday, December 8, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: