twitter

Ab is main jhoot shaamil hai
Mohabbat mut kaho is ko
Imaarut dil ki girnay do
Taaluq toot jaaney do
Keh jo deewaar apney boojh se girney pe aa jaey
Diiey ki lau se is deewaar ko phir thaamna kaisa
Hawa ka saamna kaisa
Buhat kumzoor sa such hai
Isey ub bujh hi jaaney do
Mohabbat mut kaho is ko

Samjh lo surdiyoon ki dhoop jaisa such mohabbat hai
Panaah-e-zaat ki aagoosh main simtay huay such main
Ajub si surd mehri hai
Keh
Ju ThiThray howau lufzoon ko hidut nahi dey sakti
Sulagti raakh ko aatish ki shidut dey nahi sakti
Mager such bolna to hai
Andhera phailna to hai
Ab is se paishtur keh munjamid taareekiyaan utrain
Aur apne neelgoo'n honton ko si ker dhoop surma ki
Kisi ki bolti ankhoon mein chumkey aur mur jaey
Rutain weeraan kerjaey
Usey ub laut jaaney do
Mohabbat mut kaho is ko
Mohabbat mut kaho is ko

Ghanairay jungloon ke raastay ka such mohabbat hai
Sunehri ghaas pe soti howi pugdandiyoon ka such
Mujassam baankpun ashjaar se lipti howi badlain
Keh ju apni namo ki gungunaahut hi se durti hai
Dabay paaon guzarti hain
Inhi ki aajzi ka such mohabbat hai
Mager tehro zara soocho !
Ager yeh raastay pugdadiyaan
Mahaz harf-e-tasalli hon
Kisi ki muskuraahut hon
Kisi k door jaatay bhaagtay qudmoon ki aahat hon
Hawa ki sursuraahat hon
Ya aisa khwaab jis ko aakhirish aankhain bhula daalain
Ya aisa khut jisey likhain mager likh ker jala daalien
To phir aey hum nufs!
Yeh maan lo yeh such nahi kyun keh

Ab is main jhoot shaamil hai
MOHABBAT MUT KAHO IS KO

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: