twitter

Abhi jo laut kar phir tum
Hamaray dar pay ayay ho
Yeh tum say keh dya kis nay
Keh tum bin reh nahi saktay
Yeh dukh hum seh nahi saktay
Kaha tum say yeh kis nay hai
Keh tum bin hum buhat royay hain
Raaton ko na soyay hain
Sun lo ghoar say janaa
Agar beetay huway lamhon ko
Tum nay wapis lana hai
Hamari zindagi main phir
Hamain wapis bulana hai
Mujhay afsoos hai janaa
Keh tum mayoos lauto gi
Agar tum jan’na chaho
Kay aisa kyun kia hum nay
Yeh dukh kyun seh lia hum nay
To sun lo ghor say janaa
Puranay ehd-e-raftaa ki
Riwayat torr di hum nay


MOHABBAT CHOR DI HUM NAY

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: