twitter

Merey hum nafs merey hum nawa , mujhey dost ban key dagha na day
Main hoon dard e ishq sey jaan balb, mujhey zindagi ki dua na day

Main gham e jahan sey nidhal hoon keh sarapa e huzn_o_malal hoon
Jo likhey hain merey naseeb main woh alam kisi ko khuda na day

Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastan meri dastan
Main khayal_o_waham sey door hoon, mujhey ajj koi sada na day

Merey gher sey door hain rahatein, mujhey dhondatein hain musibatein
Mujhey khof yeh hai keh mera pata koi gerdishoon ko bata na day

Wo tarap jo shoal e jaan main thi mairay tan badan say lipat gai
Jo bujha sakay to bujha isay na bujha sakay to hawa na day

Mairey sabr ka na lay imtehaan mairi khamoshi ko sada na day
Jo tairay baghair na jee sakay usay zindagi ki dua na day

Tujhay bhool kay na bhula sakoon tujhey chah key bhi na pa sakoon
Mairi hasraton ka shumar ker meri chahaton ka sila na day

Tujhay gar milain kabhi fursatain meri sham phir say sanwar day
Gar qatl kerna hai to qatl ker yun judaiyon ki saza na day

Dar e yaar par baRi dhoom hai wohi aashiqoon ka hujoom hai
Abhi neend aye hai husn ko koi shor kar ke jaga na day

Too azeeZ dil o nazar say hai tu qareeb rag o jaan say hai
Mairay jism o jaan ka yeh faasla kaheen waqt aur barha na day

Mujhey choor day merey haal per, tera kiya bharoosa aey chara ger
Teri yeh navazishey mukhtaser,mera dard aur berha na day

Mera azm itna bulnd hai key paraey shoolon ka dar nahi
Mujhey khoof atish e gul sey hai, kahin yehi chaman ko jala na day

Merey dagh e dil sey hai roshini, isi roshini sey hai zindagi
Mujhey khoof yeh hai charager, yeh chiragh tu hi bhujha na day

Woh uthey hain ley key khum o sabu, arey aey Shakil kahan hai tu
Tera jam leney ko bazam main koi aur haath berha na day

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: