twitter

Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhtii Hain
Inhien Likhney Kii Khwaahish Mein
Meri Qalam Thakii Kitna
Inhien Parhney Kii Chahat Mein
Meri Aankhien jalli Kitna


Main Likh Likh Kar Teri Aankhien
Suanta Tha Jo Dunya Ko
Zamana Ruktii Saanson Mein
Teri Aankhon Ko Sunta Tha
Zamaney Doob Jatey They
Jo Tujh Ko Yaad Rakhtey They
Wo Khud Ko Bhool Jatey They


Kisi Shab Ki Sa’at Mein
Teri Aankhon Sey Soya Tha
Tu Jitney Khwaab Bhi Dekhey
Main Pehron In Pey Roya Tha
Teri Aankhon Sey Takra Kar
To Sapney toot jAtey Hain
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhti hAin ?


Yeh Socha Tha Kabhi Main Ney
Yahii Kuch Main Ney Socha Tha
K Chahon to Faqat Eik Lams Dey Kar Hii
Inhien Phir Sey Jagga Daalon

Main Is GumSum Sey Pathar Ko
Mehaz Choo Kar Rula Daalon
Main In Aakhon Mein Likha Dard
Mohabbat Sey Mitta Daalon


Magar Jab Roo-Baroo Paaya
Teri Aankhon Ko Meri Jaan
Teri Aankhien Meri Aankhon Mein
Jaisey Jazb Hotii Thi
Main Khud Ko Bhool Baitha Tha
Mujhey Tum Yaad Rehtey They


Teri Aankhon Key Dukh Darya
Meri Aankhon Sey Behtey They
Meri Aankhien Bhi Ab Bilkul
Teri Aankhon Sii Lagtii Hain
Wohii Hasrat Wohii Wehshat
Wohi Chup Chaap Pathar Sii
K Jiss Manzar Pey Uth Jaaien


Aseer e Dard Kar Jaaien
Main Jab Sey Soch Mein Gum hoon
Mujhey Kuch Tu Hii Samjha Dey
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhtii Hain ??

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: